kah to sakte the wahi log khuda hai mujhmein
jo ye kahte hain ki shaitaan chhupa hai mujh mein
daant deta hai gunaahon pe hamesha mujhko
tab ye lagta hai koi mujhse bada hai mujh mein
meri aankhon mein andhera hi nazar aata hai
yun to laakhon hi charaagon ki ziya hai mujh mein
badhte jaate hain ye dushman ki tarah gham mere
tum to kahte the ki har gham ki dava hai mujh mein
dost lagta hai kabhi aur kabhi dushman sa
aisa lagta hai koi mere siva hai mujh mein
haath jab bhi hain badhe mere gunaahon ki taraf
qatl apna hi koi khud hi kiya hai mujh mein
mere andar ki koi aa ke ibaarat padh le
saari duniya ka nazar dard likha hai mujh mein
कह तो सकते थे वही लोग ख़ुदा है मुझमें
जो ये कहते हैं कि शैतान छुपा है मुझ में
डाँट देता है गुनाहों पे हमेशा मुझको
तब ये लगता है कोई मुझसे बड़ा है मुझ में
मेरी आँखों में अँधेरा ही नज़र आता है
यूँ तो लाखों ही चराग़ों की ज़िया है मुझ में
बढ़ते जाते हैं ये दुश्मन की तरह ग़म मेरे
तुम तो कहते थे कि हर ग़म की दवा है मुझ में
दोस्त लगता है कभी और कभी दुश्मन सा
ऐसा लगता है कोई मेरे सिवा है मुझ में
हाथ जब भी हैं बढ़े मेरे गुनाहों की तरफ़
क़त्ल अपना ही कोई ख़ुद ही किया है मुझ में
मेरे अंदर की कोई आ के इबारत पढ़ ले
सारी दुनिया का 'नज़र' दर्द लिखा है मुझ में
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Nazar Dwivedi
our suggestion based on Nazar Dwivedi
As you were reading Aadmi Shayari Shayari