jisko gham mein muskurana aa gaya | जिसको ग़म में मुस्कुराना आ गया

  - Nazar Dwivedi

jisko gham mein muskurana aa gaya
uske qadmon mein zamaana aa gaya

usse milkar ho gaya uska hi main
yun laga shaayad thikaana aa gaya

aaina to khud se rehta bekhbar
nuqks bas usko dikhaana aa gaya

saamne mere thi saari qa'inaat
haath mein jo khat puraana aa gaya

sar mera us din se uthata hi nahin
sar pe jab se ghar uthaana aa gaya

main bahut din mubtala tha ishq mein
fasla lekin banaana aa gaya

teri chaukhat par jhuka jiska bhi sar
uske haathon mein khazana aa gaya

जिसको ग़म में मुस्कुराना आ गया
उसके क़दमों में ज़माना आ गया

उससे मिलकर हो गया उसका ही मैं
यूँ लगा शायद ठिकाना आ गया

आइना तो ख़ुद से रहता बेख़बर
नुक़्स बस उसको दिखाना आ गया

सामने मेरे थी सारी क़ाइनात
हाथ में जो ख़त पुराना आ गया

सर मेरा उस दिन से उठता ही नहीं
सर पे जब से घर उठाना आ गया

मैं बहुत दिन मुब्तला था इश्क़ में
फ़ासला लेकिन बनाना आ गया

तेरी चौखट पर झुका जिसका भी सर
उसके हाथों में ख़ज़ाना आ गया

  - Nazar Dwivedi

Dard Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Nazar Dwivedi

As you were reading Shayari by Nazar Dwivedi

Similar Writers

our suggestion based on Nazar Dwivedi

Similar Moods

As you were reading Dard Shayari Shayari