sab kuchh luta ke aaj yahi sochta hoon main
ab tak tumhaare ishq mein kyun mubtala hoon main
ik din padhenge log mujhe jaanta hoon main
ab tak kisi gunaah sa khud mein chhupa hoon main
jaise koi hisaab ho baaki bacha hua
aaseb sa jo khud ke hi peeche pada hoon main
nafrat se dekhta hai zamaana ye aajkal
jaise kisi gareeb ki mailee rida hoon main
hoti nahin hain khatm hi khud se shikaayaten
lagta hai apne aap se ukta gaya hoon main
naakaam ho rahi hain mitaane ki koshishein
shaayad kisi ke hont ki harf-e-dua hoon main
tujhko to apni chaal hi chalni thi ai nazar
tujh se nahin naseeb se apne khafa hoon main
सब कुछ लुटा के आज यही सोचता हूँ मैं
अब तक तुम्हारे इश्क़ में क्यों मुब्तला हूँ मैं
इक दिन पढ़ेंगे लोग मुझे जानता हूँ मैं
अब तक किसी गुनाह सा ख़ुद में छुपा हूँ मैं
जैसे कोई हिसाब हो बाक़ी बचा हुआ
आसेब सा जो ख़ुद के ही पीछे पड़ा हूँ मैं
नफ़रत से देखता है ज़माना ये आजकल
जैसे किसी ग़रीब की मैली रिदा हूँ मैं
होती नहीं हैं ख़त्म ही ख़ुद से शिकायतें
लगता है अपने आप से उकता गया हूँ मैं
नाकाम हो रही हैं मिटाने की कोशिशें
शायद किसी के होंठ की हर्फ़-ए-दुआ हूँ मैं
तुझको तो अपनी चाल ही चलनी थी ऐ 'नज़र'
तुझ से नहीं नसीब से अपने ख़फ़ा हूँ मैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Nazar Dwivedi
our suggestion based on Nazar Dwivedi
As you were reading Chehra Shayari Shayari