ameeron ke jo lehje bolte hain | अमीरों के जो लहजे बोलते हैं

  - Nazar Dwivedi

ameeron ke jo lehje bolte hain
ghareebon ke bhi chehre bolte hain

bada mayus sail kah raha tha
yahaan ke log kaise bolte hain

hamein kam log samjhenge yahaan par
zara sa ham jo hat ke bolte hain

jinhen taabeer milni gair mumkin
hamaare vo bhi sapne bolte hain

bahut hi badzubaani hai yahaan par
magar kuchh log achhe bolte hain

usi basti mein rahna hai hamein to
jahaan bhooton ke saaye bolte hain

nazar mein ab meri manzar yahi hai
sunen bahre jo goonge bolte hain

अमीरों के जो लहजे बोलते हैं
ग़रीबों के भी चेहरे बोलते हैं

बड़ा मायूस साइल कह रहा था
यहांँ के लोग कैसे बोलते हैं

हमें कम लोग समझेंगे यहांँ पर
ज़रा सा हम जो हट के बोलते हैं

जिन्हें ताबीर मिलनी ग़ैर मुमकिन
हमारे वो भी सपने बोलते हैं

बहुत ही बदज़ुबानी है यहांँ पर
मगर कुछ लोग अच्छे बोलते हैं

उसी बस्ती में रहना है हमें तो
जहांँ भूतों के साए बोलते हैं

"नज़र" में अब मेरी मंज़र यही है
सुनें बहरे जो गूंँगे बोलते हैं

  - Nazar Dwivedi

Nigaah Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Nazar Dwivedi

As you were reading Shayari by Nazar Dwivedi

Similar Writers

our suggestion based on Nazar Dwivedi

Similar Moods

As you were reading Nigaah Shayari Shayari