hamko dushman se nahin gaddaar se shikwa bahut | हमको दुश्मन से नहीं ग़द्दार से शिकवा बहुत

  - Nazar Dwivedi

hamko dushman se nahin gaddaar se shikwa bahut
ban ke dushman jo mila us yaar se shikwa bahut

parvarish mein kya kami hamse hui yah sochkar
ghar ke bacchon se mile vyavhaar se shikwa bahut

isko sach likhna tha lekin jaane isko kya hua
ho gai thothi qalam ki dhaar se shikwa bahut

koshishein maine hazaaron keen manaane ke liye
jo rahi bekar us manuhaar se shikwa bahut

bech kar sapne zamaane mein liye kitne hi gham
itne ghaate ke liye vyaapaar se shikwa bahut

zindagi ne jo likhi chupchaap main padhta gaya
us kahaani mein mile kirdaar se shikwa bahut

saath rah kar bhi jo apni fitraton par the bazid
mujhko phoolon se shikaayat khaar se shikwa bahut

jis pe kar vishwas woh lehron mein ja koodi nazar
doobte dekha use patwaar se shikwa bahut

हमको दुश्मन से नहीं ग़द्दार से शिकवा बहुत
बन के दुश्मन जो मिला उस यार से शिकवा बहुत

परवरिश में क्या कमी हमसे हुई यह सोचकर
घर के बच्चों से मिले व्यवहार से शिकवा बहुत

इसको सच लिखना था लेकिन जाने इसको क्या हुआ
हो गई थोथी क़लम की धार से शिकवा बहुत

कोशिशें मैंने हज़ारों कीं मनाने के लिए
जो रही बेकार उस मनुहार से शिकवा बहुत

बेच कर सपने ज़माने में लिए कितने ही ग़म
इतने घाटे के लिए व्यापार से शिकवा बहुत

ज़िन्दगी ने जो लिखी चुपचाप मैं पढ़ता गया
उस कहानी में मिले किरदार से शिकवा बहुत

साथ रह कर भी जो अपनी फ़ितरतों पर थे बज़िद
मुझको फूलों से शिकायत ख़ार से शिकवा बहुत

जिस पे कर विश्वास वह लहरों में जा कूदी "नज़र"
डूबते देखा उसे पतवार से शिकवा बहुत

  - Nazar Dwivedi

Udasi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Nazar Dwivedi

As you were reading Shayari by Nazar Dwivedi

Similar Writers

our suggestion based on Nazar Dwivedi

Similar Moods

As you were reading Udasi Shayari Shayari