sadaqat mein bhi dhokha kyun karein ham | सदाक़त में भी धोखा क्यों करें हम

  - Nazar Dwivedi

sadaqat mein bhi dhokha kyun karein ham
ibadat ka dikhaava kyun karein ham

banaai khoobsurat jab khuda ne
to phir gandi ye duniya kyun karein ham

ujaala kar nahin sakte agar to
charaagon ko bujhaaya kyun karein ham

thikaana ek lamhe ka nahin jab
to phir kal ka bharosa kyun karein ham

laga sakte nahin marham kisi ko
to zakhamon mein izafa kyun karein ham

jahaan nakhrin pe hi nazrein tiki hon
wahan charcha tumhaara kyun karein ham

guzaari umr tab aayi safedi
nazar baalon ko kaala kyun karein ham

सदाक़त में भी धोखा क्यों करें हम
इबादत का दिखावा क्यों करें हम

बनाई ख़ूबसूरत जब ख़ुदा ने
तो फिर गन्दी ये दुनिया क्यों करें हम

उजाला कर नहीं सकते अगर तो
चराग़ों को बुझाया क्यों करें हम

ठिकाना एक लम्हे का नहीं जब
तो फिर कल का भरोसा क्यों करें हम

लगा सकते नहीं मरहम किसी को
तो ज़ख़्मों में इज़ाफ़ा क्यों करें हम

जहाँ नख़रों पे ही नज़रें टिकी हों
वहाँ चर्चा तुम्हारा क्यों करें हम

गुज़ारी उम्र तब आई सफे़दी
'नज़र' बालों को काला क्यों करें हम

  - Nazar Dwivedi

Breakup Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Nazar Dwivedi

As you were reading Shayari by Nazar Dwivedi

Similar Writers

our suggestion based on Nazar Dwivedi

Similar Moods

As you were reading Breakup Shayari Shayari