kya talaashoon main jaa-b-jaa achha | क्या तलाशूँ मैं जा-ब-जा अच्छा

  - Nazar Dwivedi

kya talaashoon main jaa-b-jaa achha
koi guzre to waqia achha

log dete mujhe tavajjoh kuchh
kaash hota ye martaba achha

kitna bhari tha bojh palkon par
ashk aankhon se gir gaya achha

neend aankhon se ud gai sunkar
sher tune bhi kya kaha achha

doston ke to pyaar se behtar
dushmanon ka raha daga achha

yaad aayein unhen meri ghazlein
dard lafzon mein jab dhala achha

ab na milna na hi bichadna hai
tere dar par nazar tika achha

क्या तलाशूँ मैं जा-ब-जा अच्छा
कोई गुज़रे तो वाक़िआ अच्छा

लोग देते मुझे तवज्जो कुछ
काश होता ये मर्तबा अच्छा

कितना भारी था बोझ पलकों पर
अश्क आंँखों से गिर गया अच्छा

नींद आंँखों से उड़ गई सुनकर
शेर तूने भी क्या कहा अच्छा

दोस्तों के तो प्यार से बेहतर
दुश्मनों का रहा दग़ा अच्छा

याद आईं उन्हें मेरी ग़ज़लें
दर्द लफ़्ज़ों में जब ढला अच्छा

अब न मिलना न ही बिछड़ना है
तेरे दर पर 'नज़र' टिका अच्छा

  - Nazar Dwivedi

Aankhein Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Nazar Dwivedi

As you were reading Shayari by Nazar Dwivedi

Similar Writers

our suggestion based on Nazar Dwivedi

Similar Moods

As you were reading Aankhein Shayari Shayari