ho kitna bhi tumko vo dushwaar padhna | हो कितना भी तुमको वो दुश्वार पढ़ना

  - Nazar Dwivedi

ho kitna bhi tumko vo dushwaar padhna
magar mere chehre mein sansaar padhna

safar mein kai marhale yun bhi aate
ki raaste ko padti hai deewaar padhna

bike ja rahe hain do kaudi mein lekin
vo kahte hain hamko bhi khuddaar padhna

safeene mein rahna magar dil mein apne
hamesha hi haathon ko patwaar padhna

kitaaben padho chahe ik baar beshak
magar zindagi ko kai baar padhna

kabhi ghar ki haalat ne qismat mein meri
likha hi nahin koi itwaar. padhna

nazar unki phoolon pe tikti nahin hai
sikhaaya gaya hai jinhen khaar padhna

हो कितना भी तुमको वो दुश्वार पढ़ना
मगर मेरे चेहरे में संसार पढ़ना

सफ़र में कई मरहले यूँ भी आते
कि रस्ते को पड़ती है दीवार पढ़ना

बिके जा रहे हैं दो कौड़ी में लेकिन
वो कहते हैं हमको भी ख़ुद्दार पढ़ना

सफ़ीने में रहना मगर दिल में अपने
हमेशा ही हाथों को पतवार पढ़ना

किताबें पढ़ो चाहे इक बार बेशक
मगर ज़िन्दगी को कई बार पढ़ना

कभी घर की हालत ने क़िस्मत में मेरी
लिखा ही नहीं कोई इतवार पढ़ना

'नज़र' उनकी फूलों पे टिकती नहीं है
सिखाया गया है जिन्हें ख़ार पढ़ना

  - Nazar Dwivedi

Zindagi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Nazar Dwivedi

As you were reading Shayari by Nazar Dwivedi

Similar Writers

our suggestion based on Nazar Dwivedi

Similar Moods

As you were reading Zindagi Shayari Shayari