tujhe afsos hai mera nahin hai
are woh shakhs to apna nahin hai
vida jis roz se maa ho gai to
ye ghar mera bacha ghar sa nahin hai
bahut sach ki himayat kar rahe ho
tumhaara waqt ab achha nahin hai
gale milkar mujhe roya bahut woh
magar lagta tha woh zinda nahin hai
sazaa-e-maut mujhko de vo kaise
abhi munsif ne yah socha nahin hai
na mil paaya gila uska hi hardam
mila jo tujhko kya dikhta nahin hai
samajh mat paarsa itna bhi usko
nazar nazdeek se aisa nahin hai
तुझे अफ़सोस है मेरा नहीं है
अरे वह शख़्स तो अपना नहीं है
विदा जिस रोज़ से मांँ हो गई तो
ये घर मेरा बचा घर सा नहीं है
बहुत सच की हिमायत कर रहे हो
तुम्हारा वक़्त अब अच्छा नहीं है
गले मिलकर मुझे रोया बहुत वह
मगर लगता था वह ज़िंदा नहीं है
सज़ा-ए-मौत मुझको दे वो कैसे
अभी मुंसिफ़ ने यह सोचा नहीं है
न मिल पाया गिला उसका ही हरदम
मिला जो तुझको क्या दिखता नहीं है
समझ मत पारसा इतना भी उसको
'नज़र' नज़दीक से ऐसा नहीं है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Nazar Dwivedi
our suggestion based on Nazar Dwivedi
As you were reading Nigaah Shayari Shayari