har ek gaam pe had har qadam dar-o-deewar | हर एक गाम पे हद हर क़दम दर-ओ-दीवार

  - Ehsan Akbar

har ek gaam pe had har qadam dar-o-deewar
fazaa-e-shahr bani besh-o-kam dar-o-deewar

yahi the sahn-e-fazaa aur yahi ghar aangan tha
tum aaye ho to hue muhtasham dar-o-deewar

ham apne dard hawaon se bhi nahin kahte
uthaaye firte hain khud apne gham dar-o-deewar

ye reg-zaar hai aur is ki apni duniya hai
yahan hamesha rahe kam se kam dar-o-deewar

hawa watan ki palat aayi baadbaan ke saath
wahin yahan bhi fazaa aashram dar-o-deewar

nazar ke aage nahin par nazar mein zinda hain
sakool baste gharaunde qalam dar-o-deewar

gaye jahaan bhi wahin shehar bas gaya ehsaan
azal se apne rahe ham-qadam dar-o-deewar

हर एक गाम पे हद हर क़दम दर-ओ-दीवार
फ़ज़ा-ए-शहर बनी बेश-ओ-कम दर-ओ-दीवार

यही थे सहन-ए-फ़ज़ा और यही घर आँगन था
तुम आए हो तो हुए मुहतशम दर-ओ-दीवार

हम अपने दर्द हवाओं से भी नहीं कहते
उठाए फिरते हैं ख़ुद अपने ग़म दर-ओ-दीवार

ये रेग-ज़ार है और इस की अपनी दुनिया है
यहाँ हमेशा रहे कम से कम दर-ओ-दीवार

हवा वतन की पलट आई बादबान के साथ
वही यहाँ भी फ़ज़ा आश्रम दर-ओ-दीवार

नज़र के आगे नहीं पर नज़र में ज़िंदा हैं
सकूल बस्ते घरौंदे क़लम दर-ओ-दीवार

गए जहाँ भी वहीं शहर बस गया 'एहसान'
अज़ल से अपने रहे हम-क़दम दर-ओ-दीवार

  - Ehsan Akbar

Azal Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ehsan Akbar

As you were reading Shayari by Ehsan Akbar

Similar Writers

our suggestion based on Ehsan Akbar

Similar Moods

As you were reading Azal Shayari Shayari