aaina aaina kyun kar dekhe | आइना आइना क्यूँ कर देखे

  - Ehsan Akbar

aaina aaina kyun kar dekhe
apne hi daagh nazar bhar dekhe

tum ne jalwe ko bhi choona chaaha
ham ne khushboo mein bhi paikar dekhe

aap insaan hua soorat ka aseer
sheesha toote to sikandar dekhe

ham ne awaaz lagaaee sar-e-toor
roop jab shauq se kamtar dekhe

jalwa-e-toor baja tha lekin
aankh mushtaaq thi paikar dekhe

dard ko khauf bikhar jaane ka
aankh ko shauq ki badh kar dekhe

mustaqil sab ka pata ek hi tha
kis ne faghoor-o-sikandar dekhe

आइना आइना क्यूँ कर देखे
अपने ही दाग़ नज़र भर देखे

तुम ने जल्वे को भी छूना चाहा
हम ने ख़ुशबू में भी पैकर देखे

आप इंसाँ हुआ सूरत का असीर
शीशा टूटे तो सिकंदर देखे

हम ने आवाज़ लगाई सर-ए-तूर
रूप जब शौक़ से कमतर देखे

जल्वा-ए-तूर बजा था लेकिन
आँख मुश्ताक़ थी पैकर देखे

दर्द को ख़ौफ़ बिखर जाने का
आँख को शौक़ कि बढ़ कर देखे

मुस्तक़िल सब का पता एक ही था
किस ने फ़ग़फ़ूर-ओ-सिकन्दर देखे

  - Ehsan Akbar

Protest Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ehsan Akbar

As you were reading Shayari by Ehsan Akbar

Similar Writers

our suggestion based on Ehsan Akbar

Similar Moods

As you were reading Protest Shayari Shayari