khabar nahin ki koi kis ke intikhaab mein hai
magar jo shakhs kal ubharega mere khwaab mein hai
jahaan waalon ke laakhon idhar udhar ke jawaab
hayaat ka to sawaal aadmi ke baab mein hai
hamein na gherti shaayad ye chaar-deewaari
magar ye khaak jo is aalam-e-kharaab mein hai
khud apne par jo gaye hain vo tifl kaun se hain
vo nasl kaisi hai jis ka jahaan azaab mein hai
naye jahaan ke me'maar pehle guzarenge
phir us ke baad vo duniya jo sirf khwaab mein hai
ajab se naqsh main deewar-o-dar pe dekhta hoon
bas aane waale hain jin ka sukhun kitaab mein hai
ख़बर नहीं कि कोई किस के इंतिख़ाब में है
मगर जो शख़्स कल उभरेगा मेरे ख़्वाब में है
जहान वालों के लाखों इधर उधर के जवाब
हयात का तो सवाल आदमी के बाब में है
हमें न घेरती शायद ये चार-दीवारी
मगर ये ख़ाक जो इस आलम-ए-ख़राब में है
ख़ुद अपने पर जो गए हैं वो तिफ़्ल कौन से हैं
वो नस्ल कैसी है जिस का जहाँ अज़ाब में है
नए जहान के मे'मार पहले गुज़़रेंगे
फिर उस के बाद वो दुनिया जो सिर्फ़ ख़्वाब में है
अजब से नक़्श मैं दीवार-ओ-दर पे देखता हूँ
बस आने वाले हैं जिन का सुख़न किताब में है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ehsan Akbar
our suggestion based on Ehsan Akbar
As you were reading Aadmi Shayari Shayari