kulaah-e-kaj badal jaati hai ya afsar badalta hai | कुलाह-ए-कज बदल जाती है या अफ़सर बदलता है

  - Ehsan Akbar

kulaah-e-kaj badal jaati hai ya afsar badalta hai
abhi khulta nahin kya waqt ka tevar badalta hai

ye dekha hai ki mahvar istiwaa oopar badalta hai
falak sadiyon puraani neelgoon chadar badalta hai

dilon mein soz-e-gham waale dhuen bhi aarzooen bhi
ajam waala musalmaan har sadi mein ghar badalta hai

nishaan-karda gharo ko chhod bhaage ghar jo laute hain
to dekha pichhli shab dahleez ka number badalta hai

har ik fir'aun ke ahwaal-e-gharkaabi judaagana
kabhi dariya badalta hai kabhi lashkar badalta hai

zamaana ehtiraaman ghoom jaata hai usi jaanib
jo achchaai ko ik insaan ratti bhar badalta hai

ham ab maghrib ke dast-aamoz duniya ko nahin lagte
ug aayein baal-o-par apne to baal-o-par badalta hai

koi darwaaza bheetar ki taraf khulta nahin ehsaan
wahi andar ki kaalk hai faqat baahar badalta hai

कुलाह-ए-कज बदल जाती है या अफ़सर बदलता है
अभी खुलता नहीं क्या वक़्त का तेवर बदलता है

ये देखा है कि महवर इस्तवा ऊपर बदलता है
फ़लक सदियों पुरानी नीलगूँ चादर बदलता है

दिलों में सोज़-ए-ग़म वाले धुएँ भी आरज़ूएँ भी
अजम वाला मुसलमाँ हर सदी में घर बदलता है

निशाँ-कर्दा घरों को छोड़ भागे घर जो लौटे हैं
तो देखा पिछली शब दहलीज़ का नंबर बदलता है

हर इक फ़िरऔन के अहवाल-ए-ग़र्क़ाबी जुदागाना
कभी दरिया बदलता है कभी लश्कर बदलता है

ज़माना एहतिरामन घूम जाता है उसी जानिब
जो अच्छाई को इक इंसान रत्ती भर बदलता है

हम अब मग़रिब के दस्त-आमोज़ दुनिया को नहीं लगते
उग आएँ बाल-ओ-पर अपने तो बाल-ओ-पर बदलता है

कोई दरवाज़ा भीतर की तरफ़ खुलता नहीं 'एहसाँ'
वही अंदर की कालक है फ़क़त बाहर बदलता है

  - Ehsan Akbar

Nadii Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ehsan Akbar

As you were reading Shayari by Ehsan Akbar

Similar Writers

our suggestion based on Ehsan Akbar

Similar Moods

As you were reading Nadii Shayari Shayari