zakhamon ko mere dil ke sajaao to bane baat | ज़ख़्मों को मेरे दिल के सजाओ तो बने बात

  - Ehsan Jafri

zakhamon ko mere dil ke sajaao to bane baat
ye kaam hamein kar ke dikhaao to bane baat

kyun bahar-e-tamanna mein nahin koi bhi halchal
toofaan koi us mein jagao to bane baat

jeene ke liye un ka tasavvur bhi bahut hai
be-aas hamein jee ke batao to bane baat

jalne ko to yun khoon bhi jal jaayega lekin
paani mein zara aag lagao to bane baat

duniya mein talab hi ka tamasha to laga hai
mansoor hamein ban ke dikhaao to bane baat

girti hui deewaar ka saaya na batao
phir se nayi deewaar uthao to bane baat

ज़ख़्मों को मेरे दिल के सजाओ तो बने बात
ये काम हमें कर के दिखाओ तो बने बात

क्यूँ बहर-ए-तमन्ना में नहीं कोई भी हलचल
तूफ़ान कोई उस में जगाओ तो बने बात

जीने के लिए उन का तसव्वुर भी बहुत है
बे-आस हमें जी के बताओ तो बने बात

जलने को तो यूँ ख़ून भी जल जाएगा लेकिन
पानी में ज़रा आग लगाओ तो बने बात

दुनिया में तलब ही का तमाशा तो लगा है
मंसूर हमें बन के दिखाओ तो बने बात

गिरती हुई दीवार का साया न बताओ
फिर से नई दीवार उठाओ तो बने बात

  - Ehsan Jafri

Fantasy Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ehsan Jafri

As you were reading Shayari by Ehsan Jafri

Similar Writers

our suggestion based on Ehsan Jafri

Similar Moods

As you were reading Fantasy Shayari Shayari