duniya sabab-e-shorish-e-gham pooch rahi hai
ik mohr-e-khamoshi hai ki honton pe lagi hai
kuchh aur ziyaada asar-e-tishna-labi hai
jab se tiri aankhon se chhalkati hui pee hai
is jabr ka ai ahl-e-jahaan naam koi hai
kulfat mein bhi aaraam hai gham mein bhi khushi hai
arbaab-e-chaman apni bahaaron se ye poochen
daaman-e-gul-o-guncha mein kyun aag lagi hai
ai ham-safaro dhoondh lo aasaani-e-manzil
apna to ye dil khoogar-e-mushkil-talabi hai
ai mauja-e-toofaan tira dil koi bhi tode
saahil ne safeene ko ik awaaz to di hai
दुनिया सबब-ए-शोरिश-ए-ग़म पूछ रही है
इक मोहर-ए-ख़मोशी है कि होंटों पे लगी है
कुछ और ज़ियादा असर-ए-तिश्ना-लबी है
जब से तिरी आँखों से छलकती हुई पी है
इस जब्र का ऐ अहल-ए-जहाँ नाम कोई है
कुल्फ़त में भी आराम है ग़म में भी ख़ुशी है
अरबाब-ए-चमन अपनी बहारों से ये पूछें
दामान-ए-गुल-ओ-ग़ुंचा में क्यूँ आग लगी है
ऐ हम-सफ़रो ढूँढ लो आसानी-ए-मंज़िल
अपना तो ये दिल ख़ूगर-ए-मुश्किल-तलबी है
ऐ मौजा-ए-तूफ़ाँ तिरा दिल कोई भी तोड़े
साहिल ने सफ़ीने को इक आवाज़ तो दी है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ejaz Siddiqi
our suggestion based on Ejaz Siddiqi
As you were reading Dard Shayari Shayari