na-sazaa aalam-e-imkaan mein saza lagta hai | ना-सज़ा आलम-ए-इम्काँ में सज़ा लगता है

  - Ejaz Siddiqi

na-sazaa aalam-e-imkaan mein saza lagta hai
na-rava bhi kisi mauqe pe rawa lagta hai

yun to gulshan mein hain sab muddai-e-yak-rangee
baawajood is ke har ik rang juda lagta hai

kabhi dushman to kabhi dost kabhi kuchh bhi nahin
mujhe khud bhi nahin maaloom vo kya lagta hai

is ki baaton mein hain andaaz galat samton ke
ho na ho ye to koi raah-numa lagta hai

na hata is ko mere jism se ai jaan-e-hayaat
haath tera mere zakhamon ko dava lagta hai

door se khud meri soorat mujhe lagti hai bhali
jaane kyun paas se har shakhs bura lagta hai

rokta hoon to ye rukta hi nahin hai ejaz
mujhe har roz-o-shab-e-waqt hawa lagta hai

ना-सज़ा आलम-ए-इम्काँ में सज़ा लगता है
ना-रवा भी किसी मौक़े पे रवा लगता है

यूँ तो गुलशन में हैं सब मुद्दई-ए-यक-रंगी
बावजूद इस के हर इक रंग जुदा लगता है

कभी दुश्मन तो कभी दोस्त कभी कुछ भी नहीं
मुझे ख़ुद भी नहीं मालूम वो क्या लगता है

इस की बातों में हैं अंदाज़ ग़लत सम्तों के
हो न हो ये तो कोई राह-नुमा लगता है

न हटा इस को मिरे जिस्म से ऐ जान-ए-हयात
हाथ तेरा मिरे ज़ख़्मों को दवा लगता है

दूर से ख़ुद मिरी सूरत मुझे लगती है भली
जाने क्यूँ पास से हर शख़्स बुरा लगता है

रोकता हूँ तो ये रुकता ही नहीं है 'एजाज़'
मुझे हर रोज़-ओ-शब-ए-वक़्त हवा लगता है

  - Ejaz Siddiqi

Adaa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ejaz Siddiqi

As you were reading Shayari by Ejaz Siddiqi

Similar Writers

our suggestion based on Ejaz Siddiqi

Similar Moods

As you were reading Adaa Shayari Shayari