nizaam-e-fikr ne badla hi tha sawaal ka rang
jhalak utha kai chehron se infiyaal ka rang
na gul-kadon ko mayassar na chaand-taaron ko
tire visaal ki khushboo tire jamaal ka rang
zara si der ko chehre damak to jaate hain
khushi ka rang ho ya ho gham-o-malaal ka rang
zamaana apni kahaani suna raha tha hamein
ubhar gaya magar aaghaaz mein maal ka rang
aseer-e-waqt hai to main hoon waqt se azaad
tire urooj se achha mere zawaal ka rang
basaan-e-takhta-e-gul meri fikr hai azaad
misaal-e-qaus-e-kuzah hai mere khayal ka rang
निज़ाम-ए-फ़िक्र ने बदला ही था सवाल का रंग
झलक उठा कई चेहरों से इंफ़िआल का रंग
न गुल-कदों को मयस्सर न चाँद-तारों को
तिरे विसाल की ख़ुश्बू तिरे जमाल का रंग
ज़रा सी देर को चेहरे दमक तो जाते हैं
ख़ुशी का रंग हो या हो ग़म-ओ-मलाल का रंग
ज़माना अपनी कहानी सुना रहा था हमें
उभर गया मगर आग़ाज़ में मआल का रंग
असीर-ए-वक़्त है तो मैं हूँ वक़्त से आज़ाद
तिरे उरूज से अच्छा मिरे ज़वाल का रंग
बसान-ए-तख़्ता-ए-गुल मेरी फ़िक्र है आज़ाद
मिसाल-ए-क़ौस-ए-कुज़ह है मिरे ख़याल का रंग
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ejaz Siddiqi
our suggestion based on Ejaz Siddiqi
As you were reading Intiqam Shayari Shayari