noor ki kiran us se khud nikalti rahti hai | नूर की किरन उस से ख़ुद निकलती रहती है

  - Ejaz Siddiqi

noor ki kiran us se khud nikalti rahti hai
waqt katata rehta hai raat dhalti rahti hai

aur zikr kya kijeye apne dil ki haalat ka
kuchh bigadti rahti hai kuchh sambhalti rahti hai

zehan ubhaar deta hai naqsh haal o maazi ke
in dinon tabeeyat kuchh yun bahlati rahti hai

tah-nasheen maujen to pur-sukoon rahti hain
aur satah-e-dariya ki mauj uchhalti rahti hai

chahe apne gham ki ho ya gham-e-zamaana ki
baat to bahr-soorat kuchh nikalti rahti hai

zindagi hai naam us ka taazgi hai kaam us ka
ek mauj-e-khoon dil se jo ubalti rahti hai

kaif bhi hai masti bhi zahar bhi hai amrit bhi
vo jo jaam-e-saaqi se roz dhalti rahti hai

aaj bhi buri kya hai kal bhi ye buri kya thi
is ka naam duniya hai ye badalti rahti hai

hoti hai vo sheron mein munaakis kabhi ejaz
muddaton ghutan si jo dil mein palati rahti hai

नूर की किरन उस से ख़ुद निकलती रहती है
वक़्त कटता रहता है रात ढलती रहती है

और ज़िक्र क्या कीजे अपने दिल की हालत का
कुछ बिगड़ती रहती है कुछ सँभलती रहती है

ज़ेहन उभार देता है नक़्श हाल ओ माज़ी के
इन दिनों तबीअत कुछ यूँ बहलती रहती है

तह-नशीन मौजें तो पुर-सुकून रहती हैं
और सतह-ए-दरिया की मौज उछलती रहती है

चाहे अपने ग़म की हो या ग़म-ए-ज़माना की
बात तो बहर-सूरत कुछ निकलती रहती है

ज़िंदगी है नाम उस का ताज़गी है काम उस का
एक मौज-ए-ख़ूँ दिल से जो उबलती रहती है

कैफ़ भी है मस्ती भी ज़हर भी है अमृत भी
वो जो जाम-ए-साक़ी से रोज़ ढलती रहती है

आज भी बुरी क्या है कल भी ये बुरी क्या थी
इस का नाम दुनिया है ये बदलती रहती है

होती है वो शेरों में मुनअकिस कभी 'एजाज़'
मुद्दतों घुटन सी जो दिल में पलती रहती है

  - Ejaz Siddiqi

Dil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ejaz Siddiqi

As you were reading Shayari by Ejaz Siddiqi

Similar Writers

our suggestion based on Ejaz Siddiqi

Similar Moods

As you were reading Dil Shayari Shayari