ab saraab ke chashme maujzan nahin hote
khushk ho gaye shaayad tishnagi ke sab sote
neend mein bhi chadar ka itna paas hai tum ko
kuchh to paanv failao is tarah nahin sote
kaisi raat aayi hai neend ud gai sab ki
manzilen thapkati hain qafile nahin sote
khwaab khud haqeeqat hain aankh khol kar dekho
kis ne kah diya tum se khwaab sach nahin hote
chaak ho gaya daaman haath ho gaye zakhmi
ek daagh-e-ruswaai aur kis tarah dhote
giryaa-o-tabassum to hain naqaab chehron ke
aaine nahin hanste aaine nahin rote
अब सराब के चश्मे मौजज़न नहीं होते
ख़ुश्क हो गए शायद तिश्नगी के सब सोते
नींद में भी चादर का इतना पास है तुम को
कुछ तो पाँव फैलाओ इस तरह नहीं सोते
कैसी रात आई है नींद उड़ गई सब की
मंज़िलें थपकती हैं क़ाफ़िले नहीं सोते
ख़्वाब ख़ुद हक़ीक़त हैं आँख खोल कर देखो
किस ने कह दिया तुम से ख़्वाब सच नहीं होते
चाक हो गया दामन हाथ हो गए ज़ख़्मी
एक दाग़-ए-रुस्वाई और किस तरह धोते
गिर्या-ओ-तबस्सुम तो हैं नक़ाब चेहरों के
आइने नहीं हँसते आइने नहीं रोते
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ezaz Afzal
our suggestion based on Ezaz Afzal
As you were reading Mahatma Gandhi Shayari Shayari