kabhi ham phool hote the | कभी हम फूल होते थे

  - Fakhira batool

kabhi ham phool hote the
gulaabi narm-o-naazuk os mein bheega
mahakta muskurata khushbuon ko choomne waala
mohabbat karne waale jhoom uthte jab hamein paate
hamein poron se choo kar rooh tak mehsoos karte the
kai collar kai aankhen anokhe vasl ke lamhe
hamaare muntazir hote
hamaare husn ke charche gali-koochon mein hote the
adaaon ke sunhare teer palkon mein pirote the
hui muddat ki ham patjhad ke pairo'n ki bane hain dhool
lekin ye haqeeqat hai
kabhi ham phool hote the

कभी हम फूल होते थे
गुलाबी नर्म-ओ-नाज़ुक ओस में भीगा
महकता मुस्कुराता ख़ुशबुओं को चूमने वाला
मोहब्बत करने वाले झूम उठते जब हमें पाते
हमें पोरों से छू कर रूह तक महसूस करते थे
कई कॉलर कई आँखें अनोखे वस्ल के लम्हे
हमारे मुंतज़िर होते
हमारे हुस्न के चर्चे गली-कूचों में होते थे
अदाओं के सुनहरे तीर पलकों में पिरोते थे
हुई मुद्दत कि हम पतझड़ के पैरों की बने हैं धूल
लेकिन ये हक़ीक़त है
कभी हम फूल होते थे

  - Fakhira batool

Sach Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Fakhira batool

As you were reading Shayari by Fakhira batool

Similar Writers

our suggestion based on Fakhira batool

Similar Moods

As you were reading Sach Shayari Shayari