ujli ujli barf ke neeche patthar neela neela hai
teri yaadon mein ye sard december neela neela hai
din ki rangat khair guzar jaati hai tere bin lekin
katthai katthai raaton ka har manzar neela neela hai
door idhar khidki par baithi soch rahi ho mujh ko kya
chaand udhar chat par aaya hai thak kar neela neela hai
teri neeli chunri ne kya haal kiya baagheche ka
naaraangi phoolon waala gul-mohar neela neela hai
baadal ke peeche ka sach ab khola teri aankhon ne
tu jo nihaare roz use to ambar neela neela hai
husn bhale ho raushan tera laal gulaabi rang liye
ishq ka tere partav lekin dil par neela neela hai
ik to tu bhi saath nahin hai oopar se ye baarish uf
ghar to ghar saara ka saara daftar neela neela hai
उजली उजली बर्फ़ के नीचे पत्थर नीला नीला है
तेरी यादों में ये सर्द दिसम्बर नीला नीला है
दिन की रंगत ख़ैर गुज़र जाती है तेरे बिन लेकिन
कत्थई कत्थई रातों का हर मंज़र नीला नीला है
दूर इधर खिड़की पर बैठी सोच रही हो मुझ को क्या
चाँद उधर छत पर आया है थक कर नीला नीला है
तेरी नीली चुनरी ने क्या हाल किया बाग़ीचे का
नारंगी फूलों वाला गुल-मोहर नीला नीला है
बादल के पीछे का सच अब खोला तेरी आँखों ने
तू जो निहारे रोज़ उसे तो अम्बर नीला नीला है
हुस्न भले हो रौशन तेरा लाल गुलाबी रंग लिए
इश्क़ का तेरे परतव लेकिन दिल पर नीला नीला है
इक तो तू भी साथ नहीं है ऊपर से ये बारिश उफ़
घर तो घर सारा का सारा दफ़्तर नीला नीला है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Gautam Rajrishi
our suggestion based on Gautam Rajrishi
As you were reading Ghar Shayari Shayari