apna tumhein jo kah uthe deewana-waar ham
kuchh be-qaraar aap the kuchh be-qaraar ham
qaaim hain phool khaar se gulshan ki raunqen
husn-e-bahaar aap hain dard-e-bahaar ham
duniya-e-husn-o-ishq ke asraar khul gaye
apne alam ke jab se hue raazdaar ham
udti hai khaak jaise hawaon ke saath saath
pahunchen hain manzilon pe yun misl-e-ghubaar ham
pur-noor jis ke noor se shaam-e-alam hui
us raushni ko dhoondte hain be-qaraar ham
अपना तुम्हें जो कह उठे दीवाना-वार हम
कुछ बे-क़रार आप थे कुछ बे-क़रार हम
क़ाएम हैं फूल ख़ार से गुलशन की रौनक़ें
हुस्न-ए-बहार आप हैं दर्द-ए-बहार हम
दुनिया-ए-हुस्न-ओ-इश्क़ के असरार खुल गए
अपने अलम के जब से हुए राज़दार हम
उड़ती है ख़ाक जैसे हवाओं के साथ साथ
पहुँचे हैं मंज़िलों पे यूँ मिस्ल-ए-ग़ुबार हम
पुर-नूर जिस के नूर से शाम-ए-अलम हुई
उस 'रौशनी' को ढूँडते हैं बे-क़रार हम
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Geeta Thakur Raushni
our suggestion based on Geeta Thakur Raushni
As you were reading Charagh Shayari Shayari