toofaan badal gaye kabhi dhaare badal gaye | तूफ़ाँ बदल गए कभी धारे बदल गए

  - Geeta Thakur Raushni

toofaan badal gaye kabhi dhaare badal gaye
maujon ke saath saath kinaare badal gaye

gham-ha-e-zindagi ke sahaare badal gaye
masti bhari nazar ke ishaare badal gaye

taari fazaa-e-kaif pe be-kaifiyaan si theen
uthi jo vo nazar to nazaare badal gaye

is waaridaat-e-khaas ka kis se karoon gila
badle hain jab se aap sitaare badal gaye

thandi hui na ashk-e-ravaan se bhi gham ki aag
aansu badal gaye ki sharaare badal gaye

sunte hi raushni ki ghazal log kah uthe
gham-ha-e-zindagi ke nazaare badal gaye

तूफ़ाँ बदल गए कभी धारे बदल गए
मौजों के साथ साथ किनारे बदल गए

ग़म-हा-ए-ज़िंदगी के सहारे बदल गए
मस्ती भरी नज़र के इशारे बदल गए

तारी फ़ज़ा-ए-कैफ़ पे बे-कैफ़ियाँ सी थीं
उठी जो वो नज़र तो नज़ारे बदल गए

इस वारदात-ए-ख़ास का किस से करूँ गिला
बदले हैं जब से आप सितारे बदल गए

ठंडी हुई न अश्क-ए-रवाँ से भी ग़म की आग
आँसू बदल गए कि शरारे बदल गए

सुनते ही 'रौशनी' की ग़ज़ल लोग कह उठे
ग़म-हा-ए-ज़िंदगी के नज़ारे बदल गए

  - Geeta Thakur Raushni

Aanch Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Geeta Thakur Raushni

As you were reading Shayari by Geeta Thakur Raushni

Similar Writers

our suggestion based on Geeta Thakur Raushni

Similar Moods

As you were reading Aanch Shayari Shayari