kahte nahin hain haal kisi raazdaan se ham | कहते नहीं हैं हाल किसी राज़दाँ से हम

  - Geeta Thakur Raushni

kahte nahin hain haal kisi raazdaan se ham
waqif hue hain jab se fareb-e-jahaan se ham

aayegi phir na sahan-e-chaman mein kabhi bahaar
uth kar chale gaye jo kahi gulsitaan se ham

manzil tamaam umr hamein dhoondhti rahi
shaayad bichhad gaye the rah-e-kaarwaan se ham

gardish ne jis ki ham ko fasana bana diya
takraaye baar baar usi aasmaan se ham

paai dil-o-nigaah ne is ja se raushni
sar kis tarah uthaaye tire aastaan se ham

कहते नहीं हैं हाल किसी राज़दाँ से हम
वाक़िफ़ हुए हैं जब से फ़रेब-ए-जहाँ से हम

आएगी फिर न सहन-ए-चमन में कभी बहार
उठ कर चले गए जो कहीं गुल्सिताँ से हम

मंज़िल तमाम उम्र हमें ढूँढती रही
शायद बिछड़ गए थे रह-ए-कारवाँ से हम

गर्दिश ने जिस की हम को फ़साना बना दिया
टकराए बार बार उसी आसमाँ से हम

पाई दिल-ओ-निगाह ने इस जा से 'रौशनी'
सर किस तरह उठाएँ तिरे आस्ताँ से हम

  - Geeta Thakur Raushni

Hijr Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Geeta Thakur Raushni

As you were reading Shayari by Geeta Thakur Raushni

Similar Writers

our suggestion based on Geeta Thakur Raushni

Similar Moods

As you were reading Hijr Shayari Shayari