afsaana-e-hayaat ko dohraa rahe hain ham
apne kiye ki aap saza pa rahe hain ham
ai chashm-e-yaar teri nigaahon ka shukriya
ab zindagi-o-maut ko bahla rahe hain ham
chheda tha ham ne zikr kisi bazm-e-naaz ka
kehne lage vo hans ke chalo aa rahe hain ham
ye raahguzaar hai kaun si kuchh soojhtaa nahin
ai be-khudi bata ki kahaan ja rahe hain ham
chheda jo ham ne raah mein zaahid ne ye kaha
phir aaj may-kade ki taraf ja rahe hain ham
tareek raahguzaar ne bade fakhr se kaha
ab raushni ke geet ghazal ga rahe hain ham
अफ़्साना-ए-हयात को दोहरा रहे हैं हम
अपने किए की आप सज़ा पा रहे हैं हम
ऐ चश्म-ए-यार तेरी निगाहों का शुक्रिया
अब ज़िंदगी-ओ-मौत को बहला रहे हैं हम
छेड़ा था हम ने ज़िक्र किसी बज़्म-ए-नाज़ का
कहने लगे वो हँस के चलो आ रहे हैं हम
ये रहगुज़र है कौन सी कुछ सूझता नहीं
ऐ बे-ख़ुदी बता कि कहाँ जा रहे हैं हम
छेड़ा जो हम ने राह में ज़ाहिद ने ये कहा
फिर आज मय-कदे की तरफ़ जा रहे हैं हम
तारीक रहगुज़र ने बड़े फ़ख़्र से कहा
अब 'रौशनी' के गीत ग़ज़ल गा रहे हैं हम
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Geeta Thakur Raushni
our suggestion based on Geeta Thakur Raushni
As you were reading Raasta Shayari Shayari