duniya ko roo-shanaas-e-haqeeqat na kar sake
ham jitna chahte the mohabbat na kar sake
saamaan-e-gul-faroshi-e-raahat na kar sake
raahat ko ham shareek-e-mohabbat na kar sake
yun kasrat-e-jamaal ne looti mata-e-deed
taskeen-e-tishna-kaami-e-hairat na kar sake
ab ishq-e-khaam-kaar hi armaan ko de jawaab
ham un ko be-qaraar-e-mohabbat na kar sake
be-mehriyon se kaam raha go tamaam-umr
be-mehriyon ko sahne ki aadat na kar sake
kuchh aisi iltifaat-numa thi nigaah-e-dost
hote rahe tabaah shikaayat na kar sake
naakaamiyaan to farz ada apna kar gaeein
ham hain ki e'tiraaf-e-hazeemat na kar sake
fakhr-e-munaasibat mein tira naam le liya
ham khud hi pardaa-e-daari-e-ulfat na kar sake
har-chand haal-e-deeda-o-dil ham kaha kiye
tashreeh-e-kaifiyaat-e-mohabbat na kar sake
aflaak par to ham ne banaaiin hazaar-ha
ta'aamir koi dehr mein jannat na kar sake
hamsaayegi-e-zaahid-e-bad-khoo ke khauf se
parvardigaar teri ibadat na kar sake
दुनिया को रू-शनास-ए-हक़ीक़त न कर सके
हम जितना चाहते थे मोहब्बत न कर सके
सामान-ए-गुल-फ़रोशी-ए-राहत न कर सके
राहत को हम शरीक-ए-मोहब्बत न कर सके
यूँ कसरत-ए-जमाल ने लूटी मता-ए-दीद
तसकीन-ए-तिश्ना-कामी-ए-हैरत न कर सके
अब इश्क़-ए-खाम-कार ही अरमाँ को दे जवाब
हम उन को बे-क़रार-ए-मोहब्बत न कर सके
बे-मेहरियों से काम रहा गो तमाम-उम्र
बे-मेहरियों को सहने की आदत न कर सके
कुछ ऐसी इल्तिफ़ात-नुमा थी निगाह-ए-दोस्त
होते रहे तबाह शिकायत न कर सके
नाकामियाँ तो फ़र्ज़ अदा अपना कर गईं
हम हैं कि ए'तिराफ़-ए-हज़ीमत न कर सके
फ़ख़्र-ए-मुनासिबत में तिरा नाम ले लिया
हम ख़ुद ही पर्दा-ए-दारी-ए-उलफ़त न कर सके
हर-चंद हाल-ए-दीदा-ओ-दिल हम कहा किए
तशरीह-ए-कैफ़ियात-ए-मोहब्बत न कर सके
अफ़्लाक पर तो हम ने बनाईं हज़ार-हा
ता'मीर कोई दहर में जन्नत न कर सके
हमसाएगी-ए-ज़ाहिद-ए-बद-ख़ू के ख़ौफ़ से
परवरदिगार तेरी इबादत न कर सके
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Habeeb Ahmad Siddiqui
our suggestion based on Habeeb Ahmad Siddiqui
As you were reading Tamanna Shayari Shayari