mujh ko dimaagh-e-shevan-o-aah-o-fughaan nahin | मुझ को दिमाग़-ए-शेवन-ओ-आह-ओ-फ़ुग़ाँ नहीं

  - Habeeb Ahmad Siddiqui

mujh ko dimaagh-e-shevan-o-aah-o-fughaan nahin
ik aatish-e-khamosh hoon jis mein dhuaan nahin

kis saadgi se kahte ho ham raaz-daan nahin
vo kaun sa hai raaz jo tum par ayaan nahin

vo dushman-e-sukoon-e-dil-o-jaan yahi na ho
ma'soom si nigaah ki jis par gumaan nahin

hai aag si lagi hui rag rag mein kya kahoon
ik chashm-e-intizaar hi yaa khoon-chakaan nahin

yun dekhta hoon barq ko allah re be-dili
jaise kahi chaman mein mera aashiyaan nahin

is chashm-e-naaz ki koi dekhe fusoongari
baar-e-hayaat bhi mujhe ab to garaan nahin

ai mast-e-naaz mashq-e-sitam is se bhi siva
ai zauq-e-dard haif agar jaavedaan nahin

ai dil sar-e-niyaaz ko kya qaid-e-sang-o-dar
ka'ba hi kya bura hai jo vo aastaan nahin

ki fursat-e-hayaat tiri justuju mein sirf
ai waaye gar hanooz-e-wafa ka gumaan nahin

मुझ को दिमाग़-ए-शेवन-ओ-आह-ओ-फ़ुग़ाँ नहीं
इक आतिश-ए-ख़मोश हूँ जिस में धुआँ नहीं

किस सादगी से कहते हो हम राज़-दाँ नहीं
वो कौन सा है राज़ जो तुम पर अयाँ नहीं

वो दुश्मन-ए-सुकून-ए-दिल-ओ-जाँ यही न हो
मा'सूम सी निगाह कि जिस पर गुमाँ नहीं

है आग सी लगी हुई रग रग में क्या कहूँ
इक चश्म-ए-इन्तिज़ार ही याँ ख़ूँ-चकाँ नहीं

यूँ देखता हूँ बर्क़ को अल्लाह रे बे-दिली
जैसे कहीं चमन में मिरा आशियाँ नहीं

इस चश्म-ए-नाज़ की कोई देखे फ़ुसूँ-गरी
बार-ए-हयात भी मुझे अब तो गराँ नहीं

ऐ मस्त-ए-नाज़ मश्क़-ए-सितम इस से भी सिवा
ऐ ज़ौक़-ए-दर्द हैफ़ अगर जावेदाँ नहीं

ऐ दिल सर-ए-नियाज़ को क्या क़ैद-ए-संग-ओ-दर
का'बा ही क्या बुरा है जो वो आस्ताँ नहीं

की फ़ुर्सत-ए-हयात तिरी जुस्तुजू में सिर्फ़
ऐ वाए गर हनूज़-ए-वफ़ा का गुमाँ नहीं

  - Habeeb Ahmad Siddiqui

Religion Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Habeeb Ahmad Siddiqui

As you were reading Shayari by Habeeb Ahmad Siddiqui

Similar Writers

our suggestion based on Habeeb Ahmad Siddiqui

Similar Moods

As you were reading Religion Shayari Shayari