faiz pahunchen hain jo bahaaron se
poochte kya ho dil-nigaaron se
aashiyaan to jala magar ham ko
khelna aa gaya sharaaron se
kya hua ye ki khun mein doobi hui
laptein aati hain laala-zaaro se
un mein hote hain qafile pinhaan
dil-shikasta na ho ghubaron se
hai yahan koi hausale waala
kuchh payaam aaye hain sitaaron se
ham se mehr-o-wafa ki baat karo
hosh ki baat hoshyaaron se
koo-e-jaanaan ho dair ho ki haram
kab mafar hai yahan sahaaron se
फ़ैज़ पहुँचे हैं जो बहारों से
पूछते क्या हो दिल-निगारों से
आशियाँ तो जला मगर हम को
खेलना आ गया शरारों से
क्या हुआ ये कि ख़ूँ में डूबी हुई
लपटें आती हैं लाला-ज़ारों से
उन में होते हैं क़ाफ़िले पिन्हाँ
दिल-शिकस्ता न हो ग़ुबारों से
है यहाँ कोई हौसले वाला
कुछ पयाम आए हैं सितारों से
हम से मेहर-ओ-वफ़ा की बात करो
होश की बात होशयारों से
कू-ए-जानाँ हो दैर हो कि हरम
कब मफ़र है यहाँ सहारों से
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Habeeb Ahmad Siddiqui
our suggestion based on Habeeb Ahmad Siddiqui
As you were reading Baaten Shayari Shayari