kuchh bhi dushwaar nahin azm-e-javaan ke aage | कुछ भी दुश्वार नहीं अज़्म-ए-जवाँ के आगे

  - Habeeb Ahmad Siddiqui

kuchh bhi dushwaar nahin azm-e-javaan ke aage
aashiyaan bante gaye barq-e-tapaan ke aage

zindagi naghma-e-dil-kash hai magar ai naadaan
tu ne seekha hi nahin aah-o-fughaan ke aage

qissa-e-bazm-e-tarab tazkira-e-mausam-e-gul
khoob hain yun to magar sokhta-jaan ke aage

ham hain aur fasl-e-khizaan fasl-e-khizaan hai aur ham
ham se kya poochte ho fasl-e-khizaan ke aage

dastaras aql ki hai sarhad-e-idraak sahi
manzilen aur bhi hain wahm-o-gumaan ke aage

zahmat-e-yak-nigah-e-lutf kabhi to ai dost
ham ko kehna hai bahut lafz-o-bayaan ke aage

yun to dozakh mein bhi hangaame bapaa hain lekin
feke feke se hain aashob-e-jahaan ke aage

कुछ भी दुश्वार नहीं अज़्म-ए-जवाँ के आगे
आशियाँ बनते गए बर्क़-ए-तपाँ के आगे

ज़िंदगी नग़्मा-ए-दिल-कश है मगर ऐ नादाँ
तू ने सीखा ही नहीं आह-ओ-फ़ुग़ाँ के आगे

क़िस्सा-ए-बज़्म-ए-तरब तज़किरा-ए-मौसम-ए-गुल
ख़ूब हैं यूँ तो मगर सोख़्ता-जाँ के आगे

हम हैं और फ़स्ल-ए-ख़िज़ाँ फ़स्ल-ए-ख़िज़ाँ है और हम
हम से क्या पूछते हो फ़स्ल-ए-ख़िज़ाँ के आगे

दस्तरस अक़्ल की है सरहद-ए-इदराक सही
मंज़िलें और भी हैं वहम-ओ-गुमाँ के आगे

ज़हमत-ए-यक-निगह-ए-लुत्फ़ कभी तो ऐ दोस्त
हम को कहना है बहुत लफ़्ज़-ओ-बयाँ के आगे

यूँ तो दोज़ख़ में भी हंगामे बपा हैं लेकिन
फीके फीके से हैं आशोब-ए-जहाँ के आगे

  - Habeeb Ahmad Siddiqui

Dosti Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Habeeb Ahmad Siddiqui

As you were reading Shayari by Habeeb Ahmad Siddiqui

Similar Writers

our suggestion based on Habeeb Ahmad Siddiqui

Similar Moods

As you were reading Dosti Shayari Shayari