na betaabi na aashuftaa-sari hai
hamaari zindagi kya zindagi hai
fareb-e-aarzoo khaayein to kyun kar
taghaaful hai na begaana-washi hai
farogh-e-ishq hai mahroomiyon se
wafa-keshi b-qadr-e-naa-rasi hai
mere qasr-e-tamannaa ki nigahbaan
nigaah-e-naaz ki begaangi hai
mohabbat ke siva jaada na manzil
mohabbat ke siva sab gumrahi hai
mohabbat mein shikaayat kya gila kya
mohabbat bandagi hai bandagi hai
khuda bar-haq magar is ko karein kya
buton mein sad-fusoon-e-dilbari hai
mujhe nafrat nahin jannat se lekin
gunaahon mein ajab ik dilkashi hai
na do hoor-o-may-o-kousar ke taane
ki zaahid bhi to aakhir aadmi hai
न बेताबी न आशुफ़्ता-सरी है
हमारी ज़िंदगी क्या ज़िंदगी है
फ़रेब-ए-आरज़ू खाएँ तो क्यूँ कर
तग़ाफ़ुल है न बेगाना-वशी है
फ़रोग़-ए-इश्क़ है महरूमियों से
वफ़ा-केशी ब-क़द्र-ए-ना-रसी है
मिरे क़स्र-ए-तमन्ना की निगहबाँ
निगाह-ए-नाज़ की बेगानगी है
मोहब्बत के सिवा जादा न मंज़िल
मोहब्बत के सिवा सब गुमरही है
मोहब्बत में शिकायत क्या गिला क्या
मोहब्बत बंदगी है बंदगी है
ख़ुदा बर-हक़ मगर इस को करें क्या
बुतों में सद-फ़ुसून-ए-दिलबरी है
मुझे नफ़रत नहीं जन्नत से लेकिन
गुनाहों में अजब इक दिलकशी है
न दो हूर-ओ-मय-ओ-कौसर के ता'ने
कि ज़ाहिद भी तो आख़िर आदमी है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Habeeb Ahmad Siddiqui
our suggestion based on Habeeb Ahmad Siddiqui
As you were reading Life Shayari Shayari