khizaan-naseeb ki hasrat b-roo-e-kaar na ho
bahaar sho'bda-e-chashm-e-intizaar na ho
fareb-khurda-e-ulfat se poochiye kya hai
vo ek ahad-e-mohabbat ki ustuvaar na ho
nazar ko taab-e-nazara na dil ko jurat-e-deed
jamaal-e-yaar se yun koi sharmasaar na ho
qaba-dareeda-o-daaman-o-aasteen khooni
gulon ke bhes mein ye koi dil-figaar na ho
na ho sakega vo ramz-aashnaa-e-kaif-e-hayaat
jo qalb chashm-e-tagaaful ka raazdaar na ho
tareeq-e-ishq pe hansati to hai khird lekin
ye gumrahi kahi manzil se ham-kinaar na ho
na ta'na-zan ho koi ahl-e-hosh maston par
ki zum-e-hosh bhi ik aalam-e-khumaar na ho
vo kya bataaye ki kya shay umeed hoti hai
jise naseeb kabhi shaam-e-intizaar na ho
ye chashm-e-lutf mubarak magar dil-e-naadaan
payaam-e-ishwaa-e-rangeen sala-e-dar na ho
kisi ke lab pe jo aaye naved-e-zeest bane
wahi hadees-e-wafa jis pe e'tibaar na ho
jo do-jahaan bhi maange to main ne kya maanga
vo kya talab jo b-qadr-e-ata-e-yaar na ho
ख़िज़ाँ-नसीब की हसरत ब-रू-ए-कार न हो
बहार शो'बदा-ए-चश्म-ए-इन्तिज़ार न हो
फ़रेब-ख़ूर्दा-ए-उल्फ़त से पूछिए क्या है
वो एक अहद-ए-मोहब्बत कि उस्तुवार न हो
नज़र को ताब-ए-नज़ारा न दिल को जुरअत-ए-दीद
जमाल-ए-यार से यूँ कोई शर्मसार न हो
क़बा-दरीदा-ओ-दामान-ओ-आस्तीं ख़ूनीं
गुलों के भेस में ये कोई दिल-फ़िगार न हो
न हो सकेगा वो रम्ज़-आश्ना-ए-कैफ़-ए-हयात
जो क़ल्ब चश्म-ए-तग़ाफ़ुल का राज़दार न हो
तरीक़-ए-इश्क़ पे हँसती तो है ख़िरद लेकिन
ये गुमरही कहीं मंज़िल से हम-कनार न हो
न ता'ना-ज़न हो कोई अहल-ए-होश मस्तों पर
कि ज़ोम-ए-होश भी इक आलम-ए-ख़ुमार न हो
वो क्या बताए कि क्या शय उमीद होती है
जिसे नसीब कभी शाम-ए-इंतिज़ार न हो
ये चश्म-ए-लुत्फ़ मुबारक मगर दिल-ए-नादाँ
पयाम-ए-इश्वा-ए-रंगीं सला-ए-दार न हो
किसी के लब पे जो आए नवेद-ए-ज़ीस्त बने
वही हदीस-ए-वफ़ा जिस पे ए'तिबार न हो
जो दो-जहान भी माँगे तो मैं ने क्या माँगा
वो क्या तलब जो ब-क़द्र-ए-अता-ए-यार न हो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Habeeb Ahmad Siddiqui
our suggestion based on Habeeb Ahmad Siddiqui
As you were reading Qatil Shayari Shayari