vo dard-e-ishq jis ko haasil-e-eimaan bhi kahte hain | वो दर्द-ए-इश्क़ जिस को हासिल-ए-ईमाँ भी कहते हैं

  - Habeeb Ahmad Siddiqui

vo dard-e-ishq jis ko haasil-e-eimaan bhi kahte hain
siyah-bakhton mein us ko gardish-e-dauraan bhi kahte hain

jo aaghosh-e-haya mein ek dil-aawez nashtar hai
isee mauj-e-nazar ko gulshan-e-khandaan bhi kahte hain

hijaabat-e-nazar jalvo ki bebaki se kya utthen
mohabbat ki nazar ko deeda-e-hairaan bhi kahte hain

na khulvaayein zabaan achha yahi hai hazrat-e-zaahid
ki is tark-e-talab ko hasrat-e-isyaan bhi kahte hain

kisi ke vaaste sarmaaya-e-duniya-o-deen thehre
wahi nazrein jinhen ghaarat-gar-e-eimaan bhi kahte hain

jo dil maamoora-e-sad-hasrat-o-yaas-o-tamanna hai
ta'ajjub hai usi ko khaana-e-veeraan bhi kahte hain

ghalat-andaaz si nazrein tabassum be-niyaazaana
taghaful-keshiyon ko daawat-e-arman bhi kahte hain

jahaan-e-aab-o-gil ko jis ne zauq-e-zindagi baksha
use ai hazrat-e-naaseh dil-e-naadaan bhi kahte hain

hai jis ke dam se duniya-e-mohabbat jannat-e-arman
usi jaan-e-tarab ko fitna-e-dauraan bhi kahte hain

वो दर्द-ए-इश्क़ जिस को हासिल-ए-ईमाँ भी कहते हैं
सियह-बख़्तों में उस को गर्दिश-ए-दौराँ भी कहते हैं

जो आग़ोश-ए-हया में एक दिल-आवेज़ नश्तर है
इसी मौज-ए-नज़र को गुलशन-ए-ख़ंदाँ भी कहते हैं

हिजाबात-ए-नज़र जल्वों की बेबाकी से क्या उट्ठें
मोहब्बत की नज़र को दीदा-ए-हैराँ भी कहते हैं

न खुलवाएँ ज़बाँ अच्छा यही है हज़रत-ए-ज़ाहिद
कि इस तर्क-ए-तलब को हसरत-ए-इस्याँ भी कहते हैं

किसी के वास्ते सर्माया-ए-दुनिया-ओ-दीं ठहरें
वही नज़रें जिन्हें ग़ारत-गर-ए-ईमाँ भी कहते हैं

जो दिल मामूरा-ए-सद-हसरत-ओ-यास-ओ-तमन्ना है
तअ'ज्जुब है उसी को ख़ाना-ए-वीराँ भी कहते हैं

ग़लत-अंदाज़ सी नज़रें तबस्सुम बे-नियाज़ाना
तग़ाफ़ुल-केशियों को दावत-ए-अरमाँ भी कहते हैं

जहान-ए-आब-ओ-गिल को जिस ने ज़ौक़-ए-ज़िंदगी बख़्शा
उसे ऐ हज़रत-ए-नासेह दिल-ए-नादाँ भी कहते हैं

है जिस के दम से दुनिया-ए-मोहब्बत जन्नत-ए-अरमाँ
उसी जान-ए-तरब को फ़ित्ना-ए-दौराँ भी कहते हैं

  - Habeeb Ahmad Siddiqui

Muskurahat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Habeeb Ahmad Siddiqui

As you were reading Shayari by Habeeb Ahmad Siddiqui

Similar Writers

our suggestion based on Habeeb Ahmad Siddiqui

Similar Moods

As you were reading Muskurahat Shayari Shayari