un nigaahon ko ajab tarz-e-kalaam aata hai | उन निगाहों को अजब तर्ज़-ए-कलाम आता है

  - Habeeb Ahmad Siddiqui

un nigaahon ko ajab tarz-e-kalaam aata hai
aisa lagta hai bahaaron ka payaam aata hai

marhala hota hai jab daar-o-rasan ka darpaish
quraa-e-faal ham aison hi ke naam aata hai

ai mere naaseh-e-mushfiq kabhi ye bhi socha
kaun duniya mein khushi se tah-e-daam aata hai

baada-noshi mein bhi hai kaif-e-sukoon-bakhsh magar
haaye vo kaif jo be-minnat-e-jaam aata hai

apni hansati ka bhi ehsaas jahaan ho na sake
aalam-e-hosh mein ik vo bhi maqaam aata hai

pesh-dasti hai kharaabaat-e-jahaan ka dastoor
takte rahne se kahi haath mein jaam aata hai

ahl-e-himmat ke haseen khwaabon ki nikli ta'beer
ibn-e-aadam ko sitaaron ka salaam aata hai

उन निगाहों को अजब तर्ज़-ए-कलाम आता है
ऐसा लगता है बहारों का पयाम आता है

मरहला होता है जब दार-ओ-रसन का दरपेश
क़ुरआ-ए-फ़ाल हम ऐसों ही के नाम आता है

ऐ मिरे नासेह-ए-मुशफ़िक़ कभी ये भी सोचा
कौन दुनिया में ख़ुशी से तह-ए-दाम आता है

बादा-नोशी में भी है कैफ़-ए-सुकूँ-बख़्श मगर
हाए वो कैफ़ जो बे-मिन्नत-ए-जाम आता है

अपनी हँसती का भी एहसास जहाँ हो न सके
आलम-ए-होश में इक वो भी मक़ाम आता है

पेश-दस्ती है ख़राबात-ए-जहाँ का दस्तूर
तकते रहने से कहीं हाथ में जाम आता है

अहल-ए-हिम्मत के हसीं ख़्वाबों की निकली ता'बीर
इब्न-ए-आदम को सितारों का सलाम आता है

  - Habeeb Ahmad Siddiqui

Maikada Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Habeeb Ahmad Siddiqui

As you were reading Shayari by Habeeb Ahmad Siddiqui

Similar Writers

our suggestion based on Habeeb Ahmad Siddiqui

Similar Moods

As you were reading Maikada Shayari Shayari