naved-e-aamad-e-fasl-e-bahaar bhi to nahin | नवेद-ए-आमद-ए-फ़स्ल-ए-बहार भी तो नहीं

  - Habeeb Ahmad Siddiqui

naved-e-aamad-e-fasl-e-bahaar bhi to nahin
ye be-dili hai ki ab intizaar bhi to nahin

jo bhool jaaye koi shaghl-e-jaam-o-meena mein
gham-e-habeeb gham-e-rozgaar bhi to nahin

mareez-e-baada-e-ishrat ye ik jahaan kyun hai
suroor-e-baada b-qadr-e-khumaar bhi to nahin

mata-e-sabr-o-sukoon jis ne dil se cheen liya
vo dil-nawaz ada-aashkaar bhi to nahin

qafas mein jee mera lag to nahin gaya hamdam
ki ab vo naala-e-be-ikhtiyaar bhi to nahin

hai ain vasl mein bhi pur-khurosh-e-parwaana
sukoon-e-qalb b-aaghosh-e-yaar bhi to nahin

nigaah-e-naaz ki begaana-e-mohabbat hai
sitam to ye hai ki be-gaana-waar bhi to nahin

vo ek rahbar-e-naadaan ki jis ko ishq kahein
dubo ke kashti-e-dil sharmasaar bhi to nahin

junoon ko dars-e-amal de ke kya kare koi
b-qadr-e-hausla-e-dil bahaar bhi to nahin

नवेद-ए-आमद-ए-फ़स्ल-ए-बहार भी तो नहीं
ये बे-दिली है कि अब इंतिज़ार भी तो नहीं

जो भूल जाए कोई शग़्ल-ए-जाम-ओ-मीना में
ग़म-ए-हबीब ग़म-ए-रोज़गार भी तो नहीं

मरीज़-ए-बादा-ए-इशरत ये इक जहाँ क्यूँ है
सुरूर-ए-बादा ब-कद्र-ए-ख़ुमार भी तो नहीं

मता-ए-सब्र-ओ-सुकूँ जिस ने दिल से छीन लिया
वो दिल-नवाज़ अदा-आश्कार भी तो नहीं

क़फ़स में जी मिरा लग तो नहीं गया हमदम
कि अब वो नाला-ए-बे-इख़्तयार भी तो नहीं

है ऐन वस्ल में भी पुर-ख़रोश-ए-परवाना
सुकून-ए-क़ल्ब ब-आग़ोश-ए-यार भी तो नहीं

निगाह-ए-नाज़ कि बेगाना-ए-मुहब्बत है
सितम तो ये है कि बे-गाना-वार भी तो नहीं

वो एक रहबर-ए-नादाँ कि जिस को इश्क़ कहें
डुबो के कश्ती-ए-दिल शर्मसार भी तो नहीं

जुनूँ को दर्स-ए-अमल दे के क्या करे कोई
ब-क़द्र-ए-हौसला-ए-दिल बहार भी तो नहीं

  - Habeeb Ahmad Siddiqui

Ishq Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Habeeb Ahmad Siddiqui

As you were reading Shayari by Habeeb Ahmad Siddiqui

Similar Writers

our suggestion based on Habeeb Ahmad Siddiqui

Similar Moods

As you were reading Ishq Shayari Shayari