ye gham nahin hai ki ab aah-e-na-rasaa bhi nahin | ये ग़म नहीं है कि अब आह-ए-ना-रसा भी नहीं

  - Habeeb Ahmad Siddiqui

ye gham nahin hai ki ab aah-e-na-rasaa bhi nahin
ye kya hua ki mere lab pe iltijaa bhi nahin

sitam hai ab bhi umeed-e-wafa pe jeeta hai
vo kam-naseeb ki shaista-e-jafa bhi nahin

nigaah-e-naaz-e-ibaarat hai zindagi jis se
shareek-e-dard to kya dard-aashna bhi nahin

samajh raha hoon amaanat mata-e-sabr ko main
agarche ab nigaah-e-sabr-aazma bhi nahin

vo kaarwaan-e-nishaat-o-tarab kahaan hamdam
jo dhoondhiye to kahi koi naqsh-e-paa bhi nahin

hai dil ke vaaste sham-e-umeed-o-masha'al-o-raah
vo ik nigaah jise dil se vaasta bhi nahin

koi tabassum-e-jaan-bakhsh ko tarasta hai
shaheed-e-ishwaa-e-rangeen ka khoon-bahaa bhi nahin

ye kyun hai shola-e-betaab ki tarah muztar
meri nazar ki abhi lutf-aashna bhi nahin

b-shakl-e-qissa-e-dar-o-rasan na ho mashhoor
vo ik fasaana-e-gham tum ne jo suna bhi nahin

tamaam harf-o-hikaayat mita gai dil se
nigaah-e-naaz ne kehne ko kuchh kaha bhi nahin

vo kushta-e-karam-e-yaar kya kare ki jise
b-ein tabaahi-e-dil shikwa-e-jafa bhi nahin

ये ग़म नहीं है कि अब आह-ए-ना-रसा भी नहीं
ये क्या हुआ कि मिरे लब पे इल्तिजा भी नहीं

सितम है अब भी उमीद-ए-वफ़ा पे जीता है
वो कम-नसीब कि शाइस्ता-ए-जफ़ा भी नहीं

निगाह-ए-नाज़-ए-इबारत है ज़िंदगी जिस से
शरीक-ए-दर्द तो क्या दर्द-आश्ना भी नहीं

समझ रहा हूँ अमानत मता-ए-सब्र को मैं
अगरचे अब निगह-ए-सब्र-आज़मा भी नहीं

वो कारवान-ए-निशात-ओ-तरब कहाँ हमदम
जो ढूँढिए तो कहीं कोई नक़्श-ए-पा भी नहीं

है दिल के वास्ते शम-ए-उमीद-ओ-मशअ'ल-ओ-राह
वो इक निगाह जिसे दिल से वास्ता भी नहीं

कोई तबस्सुम-ए-जाँ-बख़्श को तरसता है
शहीद-ए-इश्वा-ए-रंगीं का ख़ूँ-बहा भी नहीं

ये क्यूँ है शो'ला-ए-बेताब की तरह मुज़्तर
मिरी नज़र कि अभी लुत्फ़-आश्ना भी नहीं

ब-शक्ल-ए-क़िस्सा-ए-दार-ओ-रसन न हो मशहूर
वो इक फ़साना-ए-ग़म तुम ने जो सुना भी नहीं

तमाम हर्फ़-ओ-हिकायत मिटा गई दिल से
निगाह-ए-नाज़ ने कहने को कुछ कहा भी नहीं

वो कुश्ता-ए-करम-ए-यार क्या करे कि जिसे
ब-ईं तबाही-ए-दिल शिकवा-ए-जफ़ा भी नहीं

  - Habeeb Ahmad Siddiqui

Jafa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Habeeb Ahmad Siddiqui

As you were reading Shayari by Habeeb Ahmad Siddiqui

Similar Writers

our suggestion based on Habeeb Ahmad Siddiqui

Similar Moods

As you were reading Jafa Shayari Shayari