badha di ik nazar mein tu ne kya tauqeer patthar ki | बढ़ा दी इक नज़र में तू ने क्या तौक़ीर पत्थर की

  - Habeeb Moosavi

badha di ik nazar mein tu ne kya tauqeer patthar ki
bana kohal-ul-basar allah re taqdeer patthar ki

aseer-e-zulf kyunkar chhut sakenge qaid-e-vahshat se
ki hai har jaada-e-dasht-e-junoon zanjeer patthar ki

ye jalwa hai kunisht-o-dair mein saane ki qudrat ka
ki daava-e-khudaai karti hai tasveer patthar ki

talaash-e-rizq mein ho aasiya ki tarah sargardaan
agar daana hai tu bhi seekh le tadbeer patthar ki

bata sang-e-jaraahat aa ke zakhm-e-tegh-e-abroo par
hua achha tire aashiq ko di taazeer patthar ki

fusoon-e-chashm-e-qaatil se bana hoon seher ka putla
jo choo le meri gardan ko to ho shamsheer patthar ki

shab-e-furqat mein jo soche the karte vo shikaayat kya
nazar karte hi un par ban gaye tasveer patthar ki

na nikli hai na niklegi jamee hai dil mein jo un ke
mitaane se bhi mitati hai kahi tahreer patthar ki

sazaa-e-ishq-e-mizgaan-e-butaaan-e-sang-dil paai
hui baarish har ik jaanib se ham par teer patthar ki

na farq aaya habeeb'-e-saabir-o-shaakir ki raahat mein
bana duniya mein qismat ka likha tahreer patthar ki

बढ़ा दी इक नज़र में तू ने क्या तौक़ीर पत्थर की
बना कोहल-उल-बसर अल्लाह रे तक़दीर पत्थर की

असीर-ए-ज़ुल्फ़ क्यूँकर छुट सकेंगे क़ैद-ए-वहशत से
कि है हर जादा-ए-दश्त-ए-जुनूँ ज़ंजीर पत्थर की

ये जल्वा है कुनिश्त-ओ-दैर में साने की क़ुदरत का
कि दावा-ए-ख़ुदाई करती है तस्वीर पत्थर की

तलाश-ए-रिज़्क़ में हो आसिया की तरह सरगर्दां
अगर दाना है तू भी सीख ले तदबीर पत्थर की

बता संग-ए-जराहत आ के ज़ख़्म-ए-तेग़-ए-अबरू पर
हुआ अच्छा तिरे आशिक़ को दी ताज़ीर पत्थर की

फ़ुसून-ए-चश्म-ए-क़ातिल से बना हूँ सेहर का पुतला
जो छू ले मेरी गर्दन को तो हो शमशीर पत्थर की

शब-ए-फ़ुर्क़त में जो सोचे थे करते वो शिकायत क्या
नज़र करते ही उन पर बन गए तस्वीर पत्थर की

न निकली है न निकलेगी जमी है दिल में जो उन के
मिटाने से भी मिटती है कहीं तहरीर पत्थर की

सज़ा-ए-इश्क़-ए-मिज़्गान-ए-बुतान-ए-संग-दिल पाई
हुई बारिश हर इक जानिब से हम पर तीर पत्थर की

न फ़र्क़ आया 'हबीब'-ए-साबिर-ओ-शाकिर की राहत में
बना दुनिया में क़िस्मत का लिखा तहरीर पत्थर की

  - Habeeb Moosavi

Freedom Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Habeeb Moosavi

As you were reading Shayari by Habeeb Moosavi

Similar Writers

our suggestion based on Habeeb Moosavi

Similar Moods

As you were reading Freedom Shayari Shayari