tumhein bhi maaloom ho haqeeqat kuchh apni rangeen-adaaiyon ki
kabhi use chhed kar to dekho jo lay mere dil ki saaz mein hai
abhi to ik qatra hi gira tha ki jis se halchal mein hai zamaana
khuda hi jaane ki kitni quwwat dil-e-hazeen ke gudaaz mein hai
ilaahi khair us ke sang-e-dar ki na ho kahi sarf-e-shauq vo bhi
ki zauq-e-sajda ki ek duniya meri jabeen-e-niyaaz mein hai
तुम्हें भी मालूम हो हक़ीक़त कुछ अपनी रंगीं-अदाइयों की
कभी उसे छेड़ कर तो देखो जो लय मिरे दिल की साज़ में है
अभी तो इक क़तरा ही गिरा था कि जिस से हलचल में है ज़माना
ख़ुदा ही जाने कि कितनी क़ुव्वत दिल-ए-हज़ीं के गुदाज़ में है
इलाही ख़ैर उस के संग-ए-दर की न हो कहीं सर्फ़-ए-शौक़ वो भी
कि ज़ौक़-ए-सज्दा की एक दुनिया मिरी जबीन-ए-नियाज़ में है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Hadi Machlishahri
our suggestion based on Hadi Machlishahri
As you were reading Dil Shayari Shayari