ishq mein har nafs ibadat hai | इश्क़ में हर नफ़स इबादत है

  - Hafeez Banarsi

ishq mein har nafs ibadat hai
mazhab-e-ishq aadmiyat hai

ik zamaana raqeeb hai mera
jab se haasil tiri rifaqat hai

zindagi naam ranj-o-gham hi sahi
phir bhi kis darja khoobsurat hai

ik mohabbat bhari nazar ke siva
aur kya ahl-e-dil ki qeemat hai

chand mukhlis jahaan ikattha hoon
vo jagah ahl-e-dil ki jannat hai

kaun suljhaaye gesu-e-dauraan
apni uljhan se kis ko furqat hai

ek duniya tabaah kar dale
ek zarra mein aisi taqat hai

sitam-dost ho ki lutf dost
jo bhi mil jaaye vo ghaneemat hai

un ko dekhenge be-hijaab hafiz
shauq-e-deedaar. agar salaamat hai

इश्क़ में हर नफ़स इबादत है
मज़हब-ए-इश्क़ आदमियत है

इक ज़माना रक़ीब है मेरा
जब से हासिल तिरी रिफ़ाक़त है

ज़िंदगी नाम रंज-ओ-ग़म ही सही
फिर भी किस दर्जा ख़ूबसूरत है

इक मोहब्बत भरी नज़र के सिवा
और क्या अहल-ए-दिल की क़ीमत है

चंद मुख़्लिस जहाँ इकट्ठा हूँ
वो जगह अहल-ए-दिल की जन्नत है

कौन सुलझाए गेसु-ए-दौरान
अपनी उलझन से किस को फ़ुर्सत है

एक दुनिया तबाह कर डाले
एक ज़र्रा में ऐसी ताक़त है

सितम-दोस्त हो कि लुत्फ़ दोस्त
जो भी मिल जाए वो ग़नीमत है

उन को देखेंगे बे-हिजाब 'हफ़ीज़'
शौक़-ए-दीदार अगर सलामत है

  - Hafeez Banarsi

Kashmir Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Hafeez Banarsi

As you were reading Shayari by Hafeez Banarsi

Similar Writers

our suggestion based on Hafeez Banarsi

Similar Moods

As you were reading Kashmir Shayari Shayari