jise hai zo'm ki us ne hawa ke par baandhe
agar hai dam to hamaari dua ke par baandhe
uthaaye haath azaab-o-bala ke par baandhe
ye kis dua ne kisi bad-dua ke par baandhe
hui na aaj bhi tauba ke tootne ki sabeel
khuda ne aaj bhi kaali ghatta ke par baandhe
koi to ho jo use rok le tabaahi se
koi to ho jo dil-e-mubtala ke par baandhe
hamaari soch ki parvaaz rokna tha muhaal
humeen ne jaan ki baazi laga ke par baandhe
kai dinon se kisi ka salaam hai na payaam
mere adoo ki baazi laga ke par baandhe
shifaa ki aas lagaaye mareez baitha hai
dua ko haath uthaaye dava ke par baandhe
hafiz maut se luqmaan bach sake kab tak
bade hakeem the kab tak qaza ke par baandhe
जिसे है ज़ो'म कि उस ने हवा के पर बाँधे
अगर है दम तो हमारी दुआ के पर बाँधे
उठाए हाथ अज़ाब-ओ-बला के पर बाँधे
ये किस दुआ ने किसी बद-दुआ' के पर बाँधे
हुई न आज भी तौबा के टूटने की सबील
ख़ुदा ने आज भी काली घटा के पर बाँधे
कोई तो हो जो उसे रोक ले तबाही से
कोई तो हो जो दिल-ए-मुब्तला के पर बाँधे
हमारी सोच की परवाज़ रोकना था मुहाल
हमीं ने जान की बाज़ी लगा के पर बाँधे
कई दिनों से किसी का सलाम है न पयाम
मिरे अदू की बाज़ी लगा के पर बाँधे
शिफ़ा की आस लगाए मरीज़ बैठा है
दुआ को हाथ उठाए दवा के पर बाँधे
'हफ़ीज़' मौत से लुक़्मान बच सके कब तक
बड़े हकीम थे कब तक क़ज़ा के पर बाँधे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Hafeez Momin
our suggestion based on Hafeez Momin
As you were reading Ummeed Shayari Shayari