shokhi ada ghuroor sharaarat khareedie | शोख़ी अदा ग़ुरूर शरारत ख़रीदिए

  - Hafeez Momin

shokhi ada ghuroor sharaarat khareedie
chaandi uchaaliye to qayamat khareedie

aslaaf ke nuqoosh kitaabon mein band hain
bazaar se kisi ki shabaahat khareedie

atki hui hai rooh puraani taraash mein
kis dil se asr-e-haal ki jiddat khareedie

ahl-e-jahaan ka aur badlne laga mazaak
fikr-o-nazar bhi hasb-e-zaroorat khareedie

zaahir bahut haseen hai baatin ghinaavana
pachhtaaiyega aap mujhe mat khareedie

quraan kholne ki zaroorat nahin rahi
bikti hai subh-o-shaam tilaavat khareedie

pak jaayega to aap tapak jaayega janab
aangan mein shaakh aayi hai fal mat khareedie

शोख़ी अदा ग़ुरूर शरारत ख़रीदिए
चाँदी उछालिए तो क़यामत ख़रीदिए

अस्लाफ़ के नुक़ूश किताबों में बंद हैं
बाज़ार से किसी की शबाहत ख़रीदिए

अटकी हुई है रूह पुरानी तराश में
किस दिल से अस्र-ए-हाल की जिद्दत ख़रीदिए

अहल-ए-जहाँ का और बदलने लगा मज़ाक़
फ़िक्र-ओ-नज़र भी हस्ब-ए-ज़रूरत ख़रीदिए

ज़ाहिर बहुत हसीन है बातिन घिनावना
पछ्ताइएगा आप मुझे मत ख़रीदिए

क़ुरआन खोलने की ज़रूरत नहीं रही
बिकती है सुब्ह-ओ-शाम तिलावत ख़रीदिए

पक जाएगा तो आप टपक जाएगा जनाब
आँगन में शाख़ आई है फल मत ख़रीदिए

  - Hafeez Momin

Mazhab Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Hafeez Momin

As you were reading Shayari by Hafeez Momin

Similar Writers

our suggestion based on Hafeez Momin

Similar Moods

As you were reading Mazhab Shayari Shayari