dair-o-haram mein dasht-o-bayaaban-o-baagh mein
dhoondo na mujh ko main hoon khud apne suraagh mein
haan ai aseero khair se ho kis suraagh mein
khilte hain ab to phool hawaa-bast baagh mein
is barf-zaar mein bhi jalaati hi jaati hai
vo ik shabeeh jo hai nihaan dil ke daagh mein
rehta hai ab zameen pe vo aasmaan-pasand
haan vo khajil tha jis se khuda bhi dimaagh mein
mumkin nahin ki ghaar mein dil ke utar sake
maange ki raushni hai tumhaare charaagh mein
kya qadr vo karenge kisi khush-nava ki hosh
tafriq kar saken jo na qumri-o-zaagh mein
दैर-ओ-हरम में दश्त-ओ-बयाबान-ओ-बाग़ में
ढूँडो न मुझ को मैं हूँ ख़ुद अपने सुराग़ में
हाँ ऐ असीरो ख़ैर से हो किस सुराग़ में
खिलते हैं अब तो फूल हवा-बस्त बाग़ में
इस बर्फ़-ज़ार में भी जलाती ही जाती है
वो इक शबीह जो है निहाँ दिल के दाग़ में
रहता है अब ज़मीन पे वो आसमाँ-पसंद
हाँ वो ख़जिल था जिस से ख़ुदा भी दिमाग़ में
मुमकिन नहीं कि ग़ार में दिल के उतर सके
माँगे की रौशनी है तुम्हारे चराग़ में
क्या क़द्र वो करेंगे किसी ख़ुश-नवा की 'होश'
तफ़रीक़ कर सकें जो न क़ुमरी-ओ-ज़ाग़ में
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ibraheem Hosh
our suggestion based on Ibraheem Hosh
As you were reading Raushni Shayari Shayari