ham haath nahin milaayenge | हम हाथ नहीं मिलाएँगे

  - Iftikhar Bukhari

ham haath nahin milaayenge
ye waqt dilon ko milaane ka hai

ham ne tanhaai odh li
aur insaaniyat ki ikaai ko sirhaana bana liya

ham safar nahin karenge
jab tak hamaare sandooq
khoobsurat tahaif se tahee hain

haajat se ziyaada khareedenge na bechenge
ki dukanein aur bazaar
faraavani se bhare rahein

baghair zaroorat gharo se nahin niklengay
ki shaahraahein maidaan aur baagh jald aabaad hoon

agar zaroori hua to
kisi khaamosh kone mein marengay
ki zameen hamaare baad bhi geeton se goonjti rahe

हम हाथ नहीं मिलाएँगे
ये वक़्त दिलों को मिलाने का है

हम ने तन्हाई ओढ़ ली
और इंसानियत की इकाई को सिरहाना बना लिया

हम सफ़र नहीं करेंगे
जब तक हमारे संदूक़
ख़ूबसूरत तहाइफ़ से तही हैं

हाजत से ज़ियादा ख़रीदेंगे न बेचेंगे
कि दुकानें और बाज़ार
फ़रावानी से भरे रहें

बग़ैर ज़रूरत घरों से नहीं निकलेंगे
कि शाहराहें मैदान और बाग़ जल्द आबाद हूँ

अगर ज़रूरी हुआ तो
किसी ख़ामोश कोने में मरेंगे
कि ज़मीन हमारे बाद भी गीतों से गूँजती रहे

  - Iftikhar Bukhari

Travel Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Iftikhar Bukhari

Similar Moods

As you were reading Travel Shayari Shayari