dil mera loot gaya vo badi tauqeer ke saath | दिल मिरा लूट गया वो बड़ी तौक़ीर के साथ

  - Jahan Ara Tabassum

dil mera loot gaya vo badi tauqeer ke saath
jo mujhe jeet na paaya kabhi shamsheer ke saath

koi kis tarah se badlega muqaddar ka likha
koi kis tarah se lad paayega taqdeer ke saath

dil ki nagri se kai ek musaafir guzre
koi thehra hi nahin hai dil-e-be-peer ke saath

dard jab had se guzar jaaye to kuchh baat bane
naam mera bhi kabhi aaye taqee-'meer ke saath

main use bhool ke bhi yaad nahin aa sakti
jo mujhe baandh gaya dard ki zanjeer ke saath

main ne minnat se aur minnat se tumhein maanga hai
tum jo mil sakte the mujh ko kisi tadbeer ke saath

ye hi alfaaz meri shaan hain sarmaaya hain
kuchh taqaabul nahin in ka kisi jaageer ke saath

kaat kar aaj ke akhbaar ko ta'aweez kiya
teri tasveer chhapi hai tiri tahreer ke saath

tujh ko raanjha se kabhi bhi koi nisbat na rahi
har fasaane mein mera zikr chala heer ke saath

aap pahluu se yun chup-chaap lage baithe hain
jaise tasveer laga de koi tasveer ke saath

daad milti hai tabassum tujhe yun der ke ba'ad
tere ashaar samajh aate hain taakheer ke saath

दिल मिरा लूट गया वो बड़ी तौक़ीर के साथ
जो मुझे जीत न पाया कभी शमशीर के साथ

कोई किस तरह से बदलेगा मुक़द्दर का लिखा
कोई किस तरह से लड़ पाएगा तक़दीर के साथ

दिल की नगरी से कई एक मुसाफ़िर गुज़रे
कोई ठहरा ही नहीं है दिल-ए-बे-पीर के साथ

दर्द जब हद से गुज़र जाए तो कुछ बात बने
नाम मेरा भी कभी आए तक़ी-'मीर' के साथ

मैं उसे भूल के भी याद नहीं आ सकती
जो मुझे बाँध गया दर्द की ज़ंजीर के साथ

मैं ने मिन्नत से और मिन्नत से तुम्हें माँगा है
तुम जो मिल सकते थे मुझ को किसी तदबीर के साथ

ये ही अल्फ़ाज़ मिरी शान हैं सरमाया हैं
कुछ तक़ाबुल नहीं इन का किसी जागीर के साथ

काट कर आज के अख़बार को ता'वीज़ किया
तेरी तस्वीर छपी है तिरी तहरीर के साथ

तुझ को राँझा से कभी भी कोई निस्बत न रही
हर फ़साने में मिरा ज़िक्र चला हीर के साथ

आप पहलू से यूँ चुप-चाप लगे बैठे हैं
जैसे तस्वीर लगा दे कोई तस्वीर के साथ

दाद मिलती है 'तबस्सुम' तुझे यूँ देर के बा'द
तेरे अशआ'र समझ आते हैं ताख़ीर के साथ

  - Jahan Ara Tabassum

Rahbar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jahan Ara Tabassum

As you were reading Shayari by Jahan Ara Tabassum

Similar Writers

our suggestion based on Jahan Ara Tabassum

Similar Moods

As you were reading Rahbar Shayari Shayari