neend meri hai khwaab logon ke
hain mere sar azaab logon ke
muflisi ke khandar se ai mere dil
chal nikaalen shabaab logon ke
gulsitaan ko lahu se seenchungi
tab khilenge gulaab logon ke
apni qismat mein toote taare hain
mahtaab aftaab logon ke
ik taraf iltifaat hai tera
ik taraf iztiraab logon ke
yoonhi pahunchee nahin main daar talak
main ne ulte naqaab logon ke
apni apni hain dars-gaahen yahan
apne apne nisaab logon ke
नींद मेरी है ख़्वाब लोगों के
हैं मिरे सर अज़ाब लोगों के
मुफ़्लिसी के खंडर से ऐ मिरे दिल
चल निकालें शबाब लोगों के
गुल्सिताँ को लहू से सींचूँगी
तब खिलेंगे गुलाब लोगों के
अपनी क़िस्मत में टूटे तारे हैं
माहताब आफ़्ताब लोगों के
इक तरफ़ इल्तिफ़ात है तेरा
इक तरफ़ इज़्तिराब लोगों के
यूँही पहुँची नहीं मैं दार तलक
मैं ने उल्टे नक़ाब लोगों के
अपनी अपनी हैं दर्स-गाहें यहाँ
अपने अपने निसाब लोगों के
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Jahan Ara Tabassum
our suggestion based on Jahan Ara Tabassum
As you were reading Gulaab Shayari Shayari