ye kaun jalwa-fagan hai meri nigaahon mein | ये कौन जल्वा-फ़गन है मिरी निगाहों में

  - Jahangeer nayab

ye kaun jalwa-fagan hai meri nigaahon mein
qadam qadam pe barsta hai noor raahon mein

bharosa had se siva tha mujhe kabhi jis par
mere khilaaf hai shaamil wahi gawaahon. mein

supurdagi ka ye aalam bhi kya qayamat hai
simat ke yun tera aa jaana meri baahon mein

tiri panaah mein rah kar bhi jo nahin mahfooz
mera shumaar hai aise hi be-panaahon mein

kab aasmaan ka fatta hai dil ye dekhna hai
badal rahi hain meri siskiyaan karaahon mein

main kaise pesh karoon daava paarsaai ka
main ek umr mulawwis raha gunaahon mein

bana hai jab se vo naayaab hum-safar mera
biche hue hain masarrat ke phool raahon mein

ये कौन जल्वा-फ़गन है मिरी निगाहों में
क़दम क़दम पे बरसता है नूर राहों में

भरोसा हद से सिवा था मुझे कभी जिस पर
मिरे ख़िलाफ़ है शामिल वही गवाहों में

सुपुर्दगी का ये आलम भी क्या क़यामत है
सिमट के यूँ तेरा आ जाना मेरी बाहोँ में

तिरी पनाह में रह कर भी जो नहीं महफ़ूज़
मिरा शुमार है ऐसे ही बे-पनाहों में

कब आसमान का फटता है दिल ये देखना है
बदल रही हैं मिरी सिसकियाँ कराहों में

मैं कैसे पेश करूँ दावा पारसाई का
मैं एक उम्र मुलव्विस रहा गुनाहों में

बना है जब से वो 'नायाब' हम-सफ़र मेरा
बिछे हुए हैं मसर्रत के फूल राहों में

  - Jahangeer nayab

Aawargi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jahangeer nayab

As you were reading Shayari by Jahangeer nayab

Similar Writers

our suggestion based on Jahangeer nayab

Similar Moods

As you were reading Aawargi Shayari Shayari