zindagi chain pa nahin sakti | ज़िंदगी चैन पा नहीं सकती

  - Jaimini Sarshar

zindagi chain pa nahin sakti
maut ko maut aa nahin sakti

phoonk sakti hai barq gulshan ko
phool is mein khila nahin sakti

tod deti hai maut saaz-e-hayaat
lekin is ko baja nahin sakti

tum na chaaho to ye naseem-e-bahaar
gul chaman mein khila nahin sakti

zindagi laakh taabdaar sahi
maut ki taab la nahin sakti

ham pe hansna to us ko aata hai
ham ko duniya hansa nahin sakti

ham se insaan kahaan milenge use
ham ko duniya bhula nahin sakti

ज़िंदगी चैन पा नहीं सकती
मौत को मौत आ नहीं सकती

फूँक सकती है बर्क़ गुलशन को
फूल इस में खिला नहीं सकती

तोड़ देती है मौत साज़-ए-हयात
लेकिन इस को बजा नहीं सकती

तुम न चाहो तो ये नसीम-ए-बहार
गुल चमन में खिला नहीं सकती

ज़िंदगी लाख ताबदार सही
मौत की ताब ला नहीं सकती

हम पे हँसना तो उस को आता है
हम को दुनिया हँसा नहीं सकती

हम से इंसाँ कहाँ मिलेंगे उसे
हम को दुनिया भुला नहीं सकती

  - Jaimini Sarshar

Basant Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jaimini Sarshar

As you were reading Shayari by Jaimini Sarshar

Similar Writers

our suggestion based on Jaimini Sarshar

Similar Moods

As you were reading Basant Shayari Shayari