zaat ki aasoodagi ke sab jatan karta rahoon
taaeron ke sang ud kar
aasmaan ki jhilmilaati neelgoon si god mein ikhlaas ki garmi
mohabbat ki tapish ko
har ghadi main dhoondhta firta rahoon
ya kabhi apne khayaalon ki rida odhe
main dharti ke khule seene pe sar rakh kar
aur apni baanhe us ke gard lipatane ki koshish mein
jahaan bhar ke gile-shikwe ghane baalon mein
aankhon se chhine moti samajh ke daalta jaaya karoon
ya kabhi main na-rasaai ke samundar mein
kisi chhoti si machhli ki tarah
apne tahaffuz aur apni zindagaani ko
khushi ke khoobsurat aasmaani saath rangon ke
kisi na-deeda saanche mein
badal dene ka aisa makr-o-fan karta rahoon
zaat ki aasoodagi ke sab jatan karta rahoon
ज़ात की आसूदगी के सब जतन करता रहूँ
ताएरों के संग उड़ कर
आसमाँ की झिलमिलाती नीलगूँ सी गोद में इख़्लास की गर्मी
मोहब्बत की तपिश को
हर घड़ी मैं ढूँढता फिरता रहूँ
या कभी अपने ख़यालों की रिदा ओढ़े
मैं धरती के खुले सीने पे सर रख कर
और अपनी बाँहें उस के गर्द लिपटाने की कोशिश में
जहाँ भर के गिले-शिकवे घने बालों में
आँखों से छिने मोती समझ के डालता जाया करूँ
या कभी मैं ना-रसाई के समुंदर में
किसी छोटी सी मछली की तरह
अपने तहफ़्फ़ुज़ और अपनी ज़िंदगानी को
ख़ुशी के ख़ूबसूरत आसमानी सात रंगों के
किसी नादीदा साँचे में
बदल देने का ऐसा मक्र-ओ-फ़न करता रहूँ
ज़ात की आसूदगी के सब जतन करता रहूँ
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Jamshed Afaq
As you were reading Valentine Shayari Shayari