hamein khaanon mein mat baanto
ki ham to raushni thehre
kisi dahleez par jalte hue shab bhar
kisi ka raasta takte
charaagon se bhi aage hai jahaan apna
ujaalon ki kumak le kar
andhere ki safoon ko cheer jaate hain
ye jugnoo chaand aur taare
hamaari sooraten jaise
hamein khaanon mein mat baanto
hawa hain ham
bhala deewar-o-dar mein qaid kya honge
sunhari subh dhalti shaam ki raahat humeen se hai
hamein mizaan par rakhne se pehle
tolane se qibl itna soch lena hai
hamaara bojh teri band mutthi mein dabii rassi
uthaaegi bhala kaise
ki ham to shash-jihat mein
jis taraf nazrein uthao
dekh lo phaili hui bikhri hui ham ko
ki ham to zindagi hain
हमें ख़ानों में मत बाँटो
कि हम तो रौशनी ठहरे
किसी दहलीज़ पर जलते हुए शब भर
किसी का रास्ता तकते
चराग़ों से भी आगे है जहाँ अपना
उजालों की कुमक ले कर
अंधेरे की सफ़ों को चीर जाते हैं
ये जुगनू चाँद और तारे
हमारी सूरतें जैसे
हमें ख़ानों में मत बाँटो
हवा हैं हम
भला दीवार-ओ-दर में क़ैद क्या होंगे
सुनहरी सुब्ह ढलती शाम की राहत हमीं से है
हमें मीज़ान पर रखने से पहले
तोलने से क़ब्ल इतना सोच लेना है
हमारा बोझ तेरी बंद मुट्ठी में दबी रस्सी
उठाएगी भला कैसे
कि हम तो शश-जिहत में
जिस तरफ़ नज़रें उठाओ
देख लो फैली हुई बिखरी हुई हम को
कि हम तो ज़िंदगी हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Kahkashan Tabassum
our suggestion based on Kahkashan Tabassum
As you were reading Duniya Shayari Shayari