hazaaron saal beete | हज़ारों साल बीते

  - Kahkashan Tabassum

hazaaron saal beete
meri zarkhez dharti ke singhaasan par
biraaje devataaon ke saraape saanwale the
magar us waqt bhi kuchh husn ka mea'ar ooncha tha
himaala ki haseen beti unhen bhaai
brindaaban ki dharti par
thirkati naachti radha
basi thi krishna ke dil mein

unhen bhi husn ki man-mohani moorat pasand aayi
magar un ko khuda hote hue bhi ye khabar kab thi
ki un ki aane waali nasl par un ka saraapa
bahut gahra asar hai chhodne waala
hazaaron saal beete
magar ab bhi hamaari sanwali rangat
tira vardaan ho goya

hamaara hum-safar bhi kisi paaro
kisi radha ka andha khwaab
aankhon mein basaaye
liye kashkol haathon mein
phire basti ki galiyon mein
ham ab kis zo'm mein pooja ki thaali mein
diye rakh kar
tiri chaukhat pe aayein
sar jhukaayein
utaarein aarti teri
hamaare bakht par tera ye shyaamal rang
ik aaseb ki soorat musallat hai
ham ab to dar ke maare
aainon se munh chhupaaye phir rahe hain

हज़ारों साल बीते
मिरी ज़रख़ेज़ धरती के सिंघासन पर
बिराजे देवताओं के सरापे साँवले थे
मगर उस वक़्त भी कुछ हुस्न का मेआ'र ऊँचा था
हिमाला की हसीं बेटी उन्हें भाई
बृन्दाबन की धरती पर
थिरकती नाचती राधा
बसी थी कृष्ण के दिल में

उन्हें भी हुस्न की मन-मोहनी मूरत पसंद आई
मगर उन को ख़ुदा होते हुए भी ये ख़बर कब थी
कि उन की आने वाली नस्ल पर उन का सरापा
बहुत गहरा असर है छोड़ने वाला
हज़ारों साल बीते
मगर अब भी हमारी साँवली रंगत
तिरा वरदान हो गोया

हमारा हम-सफ़र भी किसी पारो
किसी राधा का अंधा ख़्वाब
आँखों में बसाए
लिए कश्कोल हाथों में
फिरे बस्ती की गलियों में
हम अब किस ज़ो'म में पूजा की थाली में
दिए रख कर
तिरी चौखट पे आएँ
सर झुकाएँ
उतारें आरती तेरी
हमारे बख़्त पर तेरा ये श्यामल रंग
इक आसेब की सूरत मुसल्लत है
हम अब तो डर के मारे
आइनों से मुँह छुपाए फिर रहे हैं

  - Kahkashan Tabassum

Qismat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kahkashan Tabassum

As you were reading Shayari by Kahkashan Tabassum

Similar Writers

our suggestion based on Kahkashan Tabassum

Similar Moods

As you were reading Qismat Shayari Shayari