gham-e-zindagi ke haseen jab sitam dekhte hain
kabhi mushkilein to kabhi khud ka dam dekhte hain
rah-e-haq pe bekhauf chalte rahe ham hamesha
kahaan hausale jhoothi raahon ke kham dekhte hain
muhabbat mein kaisa ajab haal hone laga hai
nazaara koi ho magar tumko ham dekhte hain
chalaate hain akshar usi par sabhi zor apna
ye jab narm dil ka koi mohtaram dekhte hain
labon ki hasi se bahalte sabhi hain magar kab
hamaari udaasi khamoshi alam dekhte hain
falak choone ki chaahaton mein ye dekha hai akshar
zameen ki taraf phir ye sab log kam dekhte hain
siyaasat muhabbat ibadat likhe bewafaai
priya harf tere mata-e-qalam dekhte hain
ग़म-ए-ज़िन्दगी के हसीं जब सितम देखते हैं
कभी मुश्किलें तो कभी ख़ुद का दम देखते हैं
रह-ए-हक़ पे बेख़ौफ़ चलते रहे हम हमेशा
कहाँ हौसले झूठी राहों के ख़म देखते हैं
मुहब्बत में कैसा अजब हाल होने लगा है
नज़ारा कोई हो मगर तुमको हम देखते हैं
चलाते हैं अक्सर उसी पर सभी ज़ोर अपना
ये जब नर्म दिल का कोई मोहतरम देखते हैं
लबों की हँसी से बहलते सभी हैं मगर कब
हमारी उदासी ख़मोशी अलम देखते हैं
फ़लक छूने की चाहतों में ये देखा है अक्सर
ज़मीं की तरफ़ फिर ये सब लोग कम देखते हैं
सियासत मुहब्बत इबादत लिखे बेवफ़ाई
'प्रिया' हर्फ़ तेरे मता-ए-क़लम देखते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Priya omar
our suggestion based on Priya omar
As you were reading Nazakat Shayari Shayari